Share it on :

Showing posts with label Khwahishein. Show all posts
Showing posts with label Khwahishein. Show all posts

Friday, 27 September 2013

Har Baar Jo Chaha Maine

Har baar jo chaha maine wo haasil karta gaya.
Apne har khwabo ko haqiqat mein badalta gaya.
Afsos tha itna ki bas tu sath na tha mere,
Par fir bhi tere naks main apne aankhon mein gadta gaya.

Har wo lamha mera jinme tu mere pass na tha,
Bewajah ki bechaini or tanhai mein gujarta gaya.
Dard tha iss dil mein jisko tujhse dooriyon ne paida kiya,
Phir bhi tere liye main uss dard ko hans kar sehta gaya.

Yakeen to tha mujhko ki tu laut kar ek din aayigi,
Zindagi bhar sath nibhane ki mujh sang kasme khayegi.
Isi aarzoo ki moti ko har duao mein pirota gaya.

Isi chahat ki patthar se main apna Aashiyana sanjota gaya.


Ho Dil Mein Agar Sacchi Chahat

Ho dil mein agar sacchi chahat,
To wo chahat puri ho jaati hai.
Kisi adhure khwab ki gujarish dil se ki jaaye,
To uski har fariyaade sun li jaati hai.

Jab koi pasand aa jata hai hamari in nigaaho ko,
Khud-b-khud uski aahte hamari dhadkan ban jaati hai.
Har raaste uske kadmo ke saath chalte hain apne,
Uske armaano me apni saari manjile badal jaati hain.

Bas wo hi wo dikhta hai hamko har ghadi, har pal, har lamho me apne.
Or usko paane ki khwahish hamari zindagi ban jaati hai.

Ho dil mein agar sacchi chahat.



Tu Apne Har Asko Ko Mere Palko Par Saja De

Tu apne har asko ko mere palko par saja de.
Har dard ko mere apni khushiyon se mita de.
Kar pyar mujhko itna ki main khud ko bhul jaaun,
Bechain dhadkano ko tu meri apne dil ne jagah de.

Meri rooh tere jism se milne ko bekarar hai.
Meri saanse tere khatir ab rukne ko taiyaar hain.
Meri mohabbat ko tu apne jeene ka zariya bana de.
Khwahishein apni saari mere chahto par luta de.

Kar bharosa ek baar tu mere pyar par ye yaara.

Meri zindagi se jud kar meri zindagaani bana de.


Saturday, 21 September 2013

Tujhe Apna Banane Ko Jee Karta Hai

Tere hi sang jeene ko tere hi sang mar jaane ko jee karta hai.
Tujhe apni yaado mein ab sajane ko jee karta hai.
Jis pyar ko pane ke khatir main firta raha dar badar,
Wo pyar ab tujh par lutane ko jee karta hai.

Tujhe chaha hai maine apni chahat ke intehaan tak,
Ki ab iss chahat mein sab kuch bhulane ko jee karta hai.
Mujhe likhne ka sauk to na tha tujhse milne se pehle.
Par ab tujhko apne likhe kalme sunane ko jee karta hai.

Tere husn ne bana diya itna tera diwaana mujhe,

Bas teri aashiqui mein ab kuch bhi kar jaane ko jee karta hai.


Tujhe Kabhi Bhi Khud Se Bichhadne Na Dunga.

Tere palko par asko ko kabhi rukne na dunga.
Teri jehan me kisi gam ko ek pal ke liye bhi tikne na dunga.
Na tutega vishvaas tera meri chahat par se kabhi iss kadar chahunga tujhe,
Apni mohabbat mein teri nazro ko kabhi jhukne na dunga.

Har raaho par main hardam tera saaya ban chalunga.
Ki tujhe manzil se teri main kabhi bhatakne na dunga.
Muskile to hongi teri khwahishon ke raasto par,
Par bina mujhko chhuye un muskilo ko tujhse gujarne na dunga.

Ab chahe to khuda bhi dekh le tere mere bich ki rukaawat ban kar,
Rahunga main zindagi bhar tere sath teri chahat ban kar,

Ki teri saanso ko apne rooh, teri dhadkan ko apne dil se or tujhe kabhi bhi khud se bichhadne na dunga.


Wednesday, 18 September 2013

Zibdagi Mein

Mujhe mil jaaye tu agar ek baar zibdagi mein.
Fir kyun karun main khuda ka intezaar zindagi mein.
Teri dhadkan main ban jaaun, tujhe apni saanso mein basa loon.
Iske siwa kuch or na ab chah zindagi mein.

Tu meri har khushi, tu meri bandagi, tu mera kuch paane ka khumaar zindagi mein.
Mere jeene ka sahaara teri aashiqui, teri mohabbat, tera ikraar zindagi mein.


Har kisi ko nahi milta yahan pyar zindagi mein.

Khusnasib hoon main ki mujhko mili ye bahaar zindagi mein.


Monday, 9 September 2013

Bina Ek Chehre Ke


Bina ek chehre ke meri har baat adhuri hai,
Rab se har mulakat adhuri hai.
Adhure hain mere sare lamhe uske bina,
Ki Mujhpe rehmat ki har ek barsaat adhuri hai.
Bina ek chehre ke.

Main sapne to saja loon bhale hi raaton mein akele,
Par bina ek chehre ke un sapno ki darkaar adhuri hai.

Main khud mein khwahishein to jaga loon kuch yaadon ke saye mein,
Par bina ek chehre ke un khwahishon ki fariyaad adhuri hai.

Bina ek chehre ke mere manzil ki har raah adhuri hai.
Meri tanha saanso ki har ek aah adhuri hai.
Abhi khali hai meri zindagi ke daastaan ke sare panne,
Bina ek chehre ke meri har mohabbat har chaah adhuri hai.
Bina ek chehre ke.












Sunday, 8 September 2013

Ab To Tamanna Hai Bas Uske Baahon Mein Mar Jaane Ki


Khwahish to na thi kisi par iss kadar mit jaane ki,
Kisi ki khushiyon ke khatir apne armaano ko bhul jaane ki.
Par pehli nazar mein hi usne mujhko apna aashiq bana diya,
Ki ab to tamanna hai bas uske baahon mein mar jaane ki.

Dekhe bina usko ab main reh nahi sakta,
Bina uske main ek pal bhi ab jee nahi sakta.
Bhula diya khudko maine iss kadar aashiqui mein uske,
Ki ab to tamanna hai bas uske baahon mein mar jaane ki.

Har dua mein maine uski yaadein maangi hain,
Paane ki usko bas fariyafein maangi hain.
Ab aarzoo hai bas uski dil ki har dhadkan ban jaane ki,
Ki ab to tamanna hai bas uske baahon mein mar jaane ki.


Thursday, 29 August 2013

Meri Har Dua Mein tu


Meri chahat meri har wafa mein tu.

Meri mannat meri har dua mein tu.



Mere sabdo mein meri har raaton mein.

Mere sapne mere har jazbaaton mein.

Mere har kalme meri har baaton mein tu.

Meri fariyaad meri har dua mein tu.



Meri pyaas mein meri har aas mein.

Mere har kaam ki shuruaat mein.

Mere har lamhe mein har ghadi mein tu.

Meri khudaai meri har dua mein tu.



Meri aahon mein meri panaahon mein.

Meri dewaangi mein jafaao mein.

Meri fizaa meri har hawa mein tu.

Meri aarzoo mein har dua mein tu.



Saturday, 8 June 2013

Hamein To Bas Raaste Par Chalte Jaana Hai

Hamein to bas raaste par chalte jaana hai.
Chahe kitni bhi mushkilein ho raahon mein meri.
Ya saamna ho kitni bhi mushibaton se.
Hamein to bas raaste par chalte jaana hai.

Chahe mile hamein kitne bhi dard yahan.
Chahe badh jaaye mere kitne bhi jakham yahan.
Jo thaana hai wo to poora karke dikhaana hai.
Hamein to bas raaste par chalte jaana hai.

Apne armaano ko haasil karne ke liye.
Apne adhure se sapne ko poora karne ke liye.
Kuch duaaon ko haqeeqat mein badalne ke khatir.
Iss jahaan mein kuch banne ke khatir.
Hamein to bas raaste par chalte jaana hai.


Sunday, 26 May 2013

Ek Din Aisa Aayega

Ek din aisa aayega.
Jab tu mera ho jayega.
Ek din aisa aayega.

Meri raat jab tere sapno se saji hogi.
Har baat mein mere jab tu hi tu hogi.
Ek din aisa aayega.

Jab teri dhadkan mere dil ka pata poochhegi.
Har waqt teri aankhein jab mujhko dhundhengi.
Ek din aisa aayega.

Tu apna har lamha meri yaadon se sajaayega.
Apni rooh ko jab tu mere jism se mileaayega.
Ek din aisa aayega.

Apni saanso mein jab tu meri aahton ko bhar lega.
Apne pyar mein jab tu bas mujhko jagah dega.
Ek din aisa aayega.

Ek din aisa aayega jab tu mujhse milne ke liye khud ko tadpayega.
Mujhe chhune ke liye jab tu mere pass chala aayega.
Ek din aisa aayega.

Ek din aisa aayega jab tu khud ko bechainiyon mein paayega.
Jab mere liye door se tu khincha chala aayega.
Ek din aisa aayega.

Ek din aisa aayega jab mere jism mein teri jaan hogi.
Ek din aisa aayega jab tujhse hi meri pehchaan hogi.
Ek din aisa aayega.

Wednesday, 15 May 2013

Par Meri Iss Khuda Ne Kabhi Suni Hi Nahi


Kar sakta agar main guzaarish koi to tere sang zindagani ki karta.
Milti agar koi duaa mujhe to main tujhe maang leta.
Sunta agar ye khuda meri to tu kabka mera ho chuka hota.
Par afsos to iss baat ka hai ki,
Iss khuda ne meri kabhi suni hi nahi.

Suni hoti agar meri iss khuda ne,
To meri har gardishon mein aaj tu hota.
Teri chahat ke saaye mein main ji raha hota.
Duniya ki har khushi mere pass hoti.
Par meri iss khuda ne kabhi suni hi nahi.

Suni hoti agar meri iss khuda ne,
To aaj meri saanse teri saanso ke sath chal rahi hoti.
To aaj meri ye kahani tere sath ban rahi hoti.
Suni hoti agar meri iss khuda ne,
To sayad aaj main zindaa hota.
Par meri iss khuda ne kabhi suni hi nahi.


Saturday, 11 May 2013

Main Chahta Hoon

Main chahta hoon.

Ek baar wo lamha jilu,
Jisko main jina chhata tha.
Ek us pal ko samet lu,
Jisme main khona chahata tha.
Main chahta hoon.

Main chahta hoon wo sab kuch karne ki,
Jo kabhi tamanna thi meri.
Main chahta hoon wo khushiyan pana,
Jisko pane ki kabhi tamanna thi mere.
Main chahta hoon.

Main chahta hoon kisi ki yaadon mein,
Khud ko bhula dena.
Main chahta hoon kisi ke khwabo mein,
Apni raate bita dena.
Main chahta hoon.

Koi chahe mujhe itna ki main,
Apne sare dard bhul jaaun.
Koi chahe mujhe itna ki main,
Uske chahat mein iss jahaan ko bhul jaun.
Main chahta hoon.

Friday, 10 May 2013

Kaash Tu Mera Ban Jaye


Kash tu mera ban jaye.
Teri zindagi mere jine ka sahara ban jaye.
Kash tu mera ban jaye.

Her pal her lamha bas tujhe hi sochun,
Her waqt her ghadi main  tujhe hi sochun.
Kabhi to tu in panaho mein aaye.
Kash tu mera ban jaye.

Her dar per kitne mannate hain mangi.
Bas tere liye maine her duwa hai mangi.
Tere liye baithe hain ardaas lagaye.
Kash tu mera ban jaye.

Meri aankhon ne teri hi tasveere banayi.
Maine yaado mein apne tere yaade sajayi.
Mera dil meri dhadkan bas ye geet gungunaye.
Kash tu mera ban jaye.
Kash tu mera ban jaye.

Thursday, 2 May 2013

Tujhe To Chaha Maine Khuda Se Bhi Jyada


Her wo lamha maine jina chahat jo tera ho,
Her wo khwa maine chaha jisme tu ho,
Tujhe chaha maine apne nazro ke samne rakhna,
Her din maine jina chaha jisme tera sath ho.

Mujhe tera lamha mila bhi na tha,
Mujhe teri yaade kabhi milni hi na thi,
Tune to mujhe klabhi chaha hi nahi,
Fir mujh to teri chahat kabhi milni hi na thi.

Tujhe dekha maine apne sapno mein hamesha,
Tujhe paya maine apne yaado mein hamesha.
Tujhe chaha maine khuda se bhi jyada,
The rakha maine apne dil mein hamesha.

Khushi ke wo pal jo maine tere sath bitaye,
Zindagi ke wo pal jo maine tere sath bitaye,
Kabhi bhula na paunga un palo ko main,
Chahat ke wo pal jo maine tere sath bitaye.

Thursday, 18 April 2013

Kahin Koi to Hogi Mere Liye

Kahin koi to hogi mere liye.
Jise dekh ker main apna dard bhul jaunga.
Kahin koi hogi mere liye.

Jise pa ker lage jaise main sab kuch pa gaya.
Kahin koi to hogi mere liye.

Jisse mil ker lagega mujh sab kuch mil gaya.
Kahin koi to hogi mere liye.

Jo mere raaton mein khwab ban ker bas jayegi.
Jo meri yaade meri sanse ban jayegi.
Kahin koi to hogi mere liye.

Mere din ka her waqt jiska hoga.
Mera her lamha her pal jiska hoga.
Kahin koi to hogi mere liye.

Jo mere liye sari khushiyon ki wajah ban jayegi.
Jo mera dard meri tanhai ban jayegi.
Kahin koi to hogi mere liye.

Jo mere hosh mein madhoshi ban jayegi.
Jo mera chain mera sukun ban jayegi.
Kahin koi to hogi mere liye.

Jiski her aahein mere dil mein bas jayegi.
Jo meri chahat mera pyar ban jayegi.
Bitegi meri ye zindagani sang jiske,
Jo meri adhuri kahani ban jayegi.
Kahin koi to hogi mere liye.


More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"