Share it on :

Showing posts with label Tanhaiyan. Show all posts
Showing posts with label Tanhaiyan. Show all posts

Wednesday, 1 January 2014

Kisi Ki Chahat Ki Aag

Kisi ki chahat ki aag mere seene me kabse jal rahi thi,
Fir tu kyun aayi meri in dhadkano mein jab mere dil me lagi aag ko bujhana na tha.

Mere asko ko rokte rokte meri palke thak gayi thi,
Fir khud ko kyun basaya in aankhon mein jab in palko ki jagah khudko bithana na tha.

Meri raate to yun hi kat rahi thi karwato mein,
Fir tu kyun aayi mere khwabo mein jab khud ko meri yaado mein thehrana na tha.

Meri sanse to dheere dheere apne aap rook rahi thi,
Meri ye akeli zindagi haule haule mar rahi thi.
Fir tu kyun aayi meri zindagi mein jab mujhe jeene ka ehsaas fir se dilana na tha.

Cheekh cheekh kar keh rahi hai meri rooh ab mujhe.....

Koi hai jo ab meri jagah le chuka hai.
Ek baat tujhe sacchi batlaau main yaara.
Tere jism ko jiski rooh ka hai intezaar wo sayad ab kisi or ka ho chuka hai.

Apne jism ko ab tu iss mitti mein mil jaane de,
Kyunki aalam hai ab ye ki tera jism bekaar ho chuka hai.

Ab to tu khud ko mujhme badal jaane de,
Tera khud ko mitane ka waqt ho chuka hai


Tuesday, 1 October 2013

Mujhse Kya Khata Ho Gayi

Aisi bhi mujhse kya khata ho gayi.
Jo meri chahat mujhse juda ho gayi.
Lakh koshish ki usko manane ki maine,
Apne sabdo se samjhane ki maine.
Par wo sunti bhi kaise mere sabdo ko,
Jab meri awaaze mujhse kafa ho gayi.

Tut kar chaha maine usko apne dilo jaan se,
Par bereham wo to jaise bewafa ho gayi.
Meri aankhein jam gayi meri har saanse tham gayi.
Jab uski raah takte takte intehaan ho gayi.


Wednesday, 18 September 2013

Mera Yaar Na Mila Mujhko

Yun hi so kar raat bitane ka kya faayeda,
Jab raato mein uska khwab na mila mujhko.

Har muskil ko manzil banane ka kya faayeda,
Jab raahon mein uska sath na mila mujhko.

Jab wo mera hi na ban paya to kya faayeda khuda se uske khatir fariyaad lagane ka,

Ab kya faayeda iss duniya mein jeene ka,

Jab iss zindagi mein uska pyar na mila mujhko.



Tuesday, 21 May 2013

Aisa Kyun Hota Hai


Aisa kyun hota hai.
Hamare sapno se hamare har khwab juda ho jaate hain.
Kabhi manjile to kabhi-kabhi raaste kafaa ho jaate hain.
Aisa kyun hota hai.

Aisa kyun hota hai.
Jise chaho wo hamse door chala jata hai.
Bin maanga hua sa koi gam de jaata hai.
Jisme bas biti hui baatein yaad aati hain.
Aisi tanhaiyon mein in saanso ko chhod jata hai.
Aisa kyun hota hai.

Aisa kyun hota hai.
Maangi hui har duaa adhuri reh jaati hai.
Aashiqui mein apni saari duniya lut jaati hai.
Apne aap mein ye tanha dil koi kahaani gadta rehta hai.
Aisa kyun hota hai.
Aisa kyun hota hai.

Tuesday, 7 May 2013

To Aaj Main Aisa Na Hota


Ager main apne mann ki sun leta to aaj main aisa na hota.
Ager main apne dil ki kara na hota to aaj main aisa na hota.
Apni hi tanhaiyon mein main khuda na khota.
Kisi ki yaado ko leker main yun hi na rota.
Ager main apne mann ki sun leta to aaj main aisa na hota.

Apni hi khamoshi mein main ghut raha na hota.
Her raat mein apne kisi ke sapne na bota.
Na ruthta mujhse mera ye sehra,
Ager main apne mann ki sun leta.
Ager main apne mann ki sun leta to aaj main aisa na hota.

Kisi ki chahat ka yun hi intezaar na ker raha hota.
Kisi ke pyar ke liye main itna bekaraar bhi na hota.
Na juda hota apni zindagi se main kabhi,
Ager main apni mann ki sun leta.
Ager main apne mann ki sun leta to aaj main aisa na hota.

 

Sunday, 28 April 2013

Tanhai Tanhai Tanhai Bas Tanhai Hi Tanhai Hai


Tanhai tanhai tanhai bas tanhai hi tanhai hai.
Jis taraf dekhu bas tanhai hi tanhai hai.

Mere dil ke kisi kone mein thehri ye tanhai hai.
Mere mehfil ke kisi manch per baithi ye tanhai hai.
Mere her dhadkan per likhi bas tanhai hi tanhai hai.
Jis taraf dekhu bas tanhai hi tanhai hai.

Meri ruh ke her gardish mein samai ye tanhai hai.
Meri her aah mein behakti ye tanhai hai.
Meri her saans mein faili bas ye tanhai hai.
Jis taraf dekhu bas tanhai hi tanhai hai.

Meri aahat mein tanhai,
Meri her rahat mein tanhai hai.
Meri tanha mohabbat mein rehti ye tanhai hai.
Meri her chahat mein tanhai hi tanhai hai.
Jis taraf dekhu bas tanhai hi tanhai hai.

Mere kano mein gunjti her sargoshiyon mein tanhai hai.
Mere mann ke machalte her machlahat mein tanhai hai.
Mere ask mein tanhai mere her rask mein tanhai hai.
Jis taraf dekhu bas tanhai hi tanhai hai.

Meri bato ke her ek bol mein tanhai hai.
Mere lafzo ke her ek jhol mein tanhai hai.
Meri her khamoshi ki wajah bas tanhai hi tanhai hai.
Jis taraf dekhu bas tanhai hi tanhai hai.

Sochna bhi chahu ager main kuch or iss tanhai ke siwa,
Per meri to her soch mein rehti tanhai hi tanhai hai.
Khwabo mein tanhai meri her yado mein tanhai hai.
Rato mein mere sapno ki jagah basti ye tanhai hai.
Jis taraf dekhu bas tanhai hi tanhai hai.

Meri subha ki khilti baharo mein tanhai hai.
Meri shamo ki dhalti dhoop mein tanhai hai.
Her pal her lamha her waqt mein mere tanhai hi tanhai hai.
Jis taraf dekhu bas tanhai hi tanhai hai.

Itni tanhai mili mujhe meri zindagi se,
Jaise meri ye zindagi tanhai ne banai hai.
Main jiss aor mujh milti ye tanhai hai.
Jis taraf dekhu bas tanhai hi tanhai hai.

Meri sari zindagi gujri bas tanhai ke saaye mein.
Ab to lagta hai ki sayad,
Ye tanhai mere khoon mein samai hai.
Ab to meri iss zindagi ka naam hi tanhai hai.

Tanhai tanhai tanhai bas tanhai hi tanhai hai.
Jis taraf dekhu bas tanhai hi tanhai hai.

Thursday, 18 April 2013

Hai Dil Mein Tanhai


Hai dil mein tanhai mere in tanha sanso ki,
Jin sanso mein aahein sirf mere pyar ki.
Hai dil mein khaomoshi in khamosh jubaano ki,
Jis jubaan mein hai awaaz sirf mere pyar ki.
Hai dil mein madhoshi mere madhosh migaho ki,
Jin nigaho mein hai tasveer sirf mere pyar ki.
Hai dil mein machlahat mere machalte mann ki,
Jis mann mein ghabrahat sirf mere pyar ki.
Hai dil mein mere bachpan meri bachkani herkato ki,
Jin herkato mein hai herkat sirf mere pyar ki.
Hai dil mein thodi shaitani mere adato ki,
Jin adato mein hai fitrar sirf mere pyar ki.
Hai dil mein thodi mehak mere mehakte jism ki,
Jiss jism mein hai khooshbu sirf mere pyar ki.
Hai dil mein thode khwab mere rato ke khwab ki,
Jin khwabo mein hai yaad bas mere pyar ki.
Hai dil mein mere mohabbat mere pyar ki,
Jiss mohabbat mein hai chahat sirf mere pyar ki. 



Monday, 15 April 2013

Pyar Mein Tanhai To Milti Hi Hai


Pyar mein tanhai to milti hi hai.
Phir bhi her koi pyar ko kerna chahta hai.
Her koi pyar ko apne aagosh mein bherna chahta hai.
Bhula dena chahta hai her koi pyar mein khud ko,
Her koi pyar mein ek baar jina chahta hai.
Pyar mein tanhai to milti hi hai.

Jante hain sab pyar ki inteha ko.
Chahte hain sab pyar ki ibtada ko.
Kho jana chahte hain sab pyar ki gardishon mein,
Ker dete hain sab pyar mein  fanna khud ko.
Pyar mein tanhai to milti hi hai.

Pyar ker deta hai kamjor sab ko.
Pyar ker deta hai barbad sab ko.
Her khushiyan chin jati hain uski jo pyar kerta hai,
Dard or gam milta hai pyar mein besumar sab ko.
Pyar mein tanhai to milti hi hai.

Per phir bhi ek alag maja hai iss pyar mein.
Ker jate hain sab kitne hi khata iss pyar mein.
Lunha leta hai pyar sabko khud mein,
Hoti hi hai aisi ek ada pyar mein.
Pyar mein tanhai to milti hi hai.














Ek Saccha Aasiq Kon Hota Hai


Tanha to koi na koi kabhi na kbhi to hota hi hai,
Aasiq to wo kehlata hai jo tanhai mein bhi khud ko kabhi tanha nahi pata.

Sunday, 14 April 2013

Tanhai Mein


Tanhai mein tanhai se jyada main tanha raha.

Tanha thi rushwai meri tanha her pehra tha,
Tanha her parchayi meri tanha her sehra tha.
Chaha to na tha itni tanhai ka sath maine.
Per na jane kyun mera her lamha tanhaiyon mein thehra tha.

Her aahat mein tanhai meri her ehsas mein tanhai thi,
Mere her saanso mein faili bas tanhai thi.
Mangi na thi maine kabhi tanhai bhari ye raatein.
Per mere her sapne her khwabo mein tanhai thi.

Tanha hoke main khud tanhai mein tadapta raha,
Apni tanhai ko door kerne ke liye main khud tanhaiyon se ladta raha.
Socha na tha kabhi ki mujhe itni tanhai mein gujarna hoga.
Per meri her dhadkan mera her aks tanha raha.

Mera tanha her pal tanhai mein gujarta raha.
Kyonki,
Tanhai mein tanhai se jyada main tanha tha.









Aaj Main Thoda Behak Bhi Jaun To Kya


Aaj main thoda behak bhi jaun to kya.disapointed
Mere pass mujhe sambhalne ke liye sahara hai,
Aaj main thoda behak bhi jaun to kya.
Mere pass meri kasti ka kinara hai,
Aaj main thoda behak bhi jaun to kya.

Meri aankhon mein kisi ka nazara hai,
Mere hathon mein mere kismat ka sitara hai.
Hai mere pass koi aisa jo sab kuch hai mere liye.
Aaj main thoda behak bhi jaun to kya.

Koi hai jo meri yaadein mera khwab hai,
Koi hai jo mere sare sawalo ka jawab hai.
Hai mere pass koi aisa jo meri her tanhai ko door kerta hai.
Aaj main thoda behak bhi jaun to kya.

Hai koi jo meri chahat mera pyar hai,
Meri aahat hai wo mera her ehsas hai.
Hai koi aisa jo nibhata hai her waqt mera sath.
Aaj main thoda behak bhi jaun to kya.

Aaj main thoda behak bhi jaun to kya.















Saturday, 13 April 2013

Kahin Koi Gam To Tha


Kahin koi gam to tha mere dil ke kisi kone mein,
Warna yun bit te na hamare her waqt kisi ko yaad kerke rone mein.
Pagal pan to hai mujh mein meri chahat ko pane ke liye,
Warna taklif na hoti bina uske khwab dekhe bina sone mein.

Ek dard sa to hai mere in jajbaton ke behne mein,
Warna dar na lagta mujhe apne dil ki bate kehne mein.
Kyon koi bhi ishq ki madhoshi mein khone se darta hai,
Jabki ek alag hi maja hai pyar ke iss nashe mein behak jaane mein.

Kabhi kisi kisi ki aahat to thi mere in dhadkano mein,
Per bas yaad banke reh gaye ab mere wo asko mein.
Yahin sochte rehte hain ki kyun keh na paaye apni dil ki bate unse,
Agar kaha hota to sayad wo hote aaj mere in panaho mein.

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"