Share it on :

Sunday 28 April 2013

Jism Hai Do Per Jaan Apni Ek Hain


Jism hai do per jaan apni ek hain.
Bate hai alag-alag per matlab apne ek hain.
Sochte hain alag-alag per fasaane apne ek hain.
Machalte huye dhun per tarane apne ek hain.
Jism hai do per jaan apni ek hain.

Sapno ke bhanwer mein her khawab apne ek hain.
Ladkharate huye kadmo ke sahare apne ek hain.
Alag-alag raahe hain per mukaam apne ek hain.
Jism hai do per jaan apni ek hain.

Hanthon ki lakire to uljhi hui hai apni,
Per kishmat mein likhi hui takdire apni ek hain.
Duwa mangne ka salika bhale hi juda hai apna,
Per khuda se mangi her mannat apni ek hain.
Jism hai do per jaan apni ek hain.

Her subha mein khilti bahare apni ek hain.
Aankhon mein baste nazare apne ek hain.
Dekhne ka nazariya apna juda hai lekin,
Zindagi ke sare armaan apne ek hain.
Jism hai do per jaan apni ek hain.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"