Share it on :

Saturday, 27 April 2013

Aadat Badal Jati Hai Per Fitrat Nahi Badalti


Aadat badal jati hai per fitrat nahi badalti.
Bigdi hui kabhi koi baat nahi sambhaalti,
Kishmat mein likhi hui takdeer nahi badalti,
Kuch logo ki,
Aadat badal jati hai per fitrat nahi badalti.

Jo log bhatak jate hain apne rasto se,
Un logo ko kabhi apni manjile nahi milti.
Dukh or dard to unhe her mod per mil jata hai,
Khushiyon ki unhe kabhi koi saugate nahi milti.
Kyonki Kuch logo ki, 
Aadat badal jati hai per fitrat nahi badalti.

Jin logo ki kishmat mein jakham likhe hote hain,
Unke uper se musibato ki chaya nahi hat ti.
Gujar to jati hai unki subha aaram se,
Per sukun se kabhi unki raate nahi gujarti.
Kyonki Kuch logo ki, 
Aadat badal jati hai per fitrat nahi badalti.

2 comments:

  1. Ek Number Bhai...
    Nice One Perfect BRoda....
    But woh jo baar baar repeat ho raha tha ke aadat badal jaati hai but fitrat nai woh meko last last mai accha nai laga to be frank...

    ReplyDelete
  2. Ek Number Bhai...
    Nice One Perfect BRoda....
    But woh jo baar baar repeat ho raha tha ke aadat badal jaati hai but fitrat nai woh meko last last mai accha nai laga to be frank...

    ReplyDelete

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"