Aakhir Kaun hai Ye Khuda !
Kabhi kisi ko dikhai nahi deta,
Kabhi kisi ko ye sunai nahi deta.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !
Herkoi inko apna manta hai,
Herkoi inke bare mein sab kuch janta hai.
Inki pooja kerne mein sab itna kho jate hain,
Ki log apne aap ko hi bhul jate hai.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !
Kya wo sari bate sach hoti hain jo purano mein hain,
Ya hoti hai koi man se gadi hui kahaniya.
Wo khuda to kabhi kisi se mila nahi,
Per khub milti hain aaj kal uski nishniya.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !
Kehte hain sab ki iss jahan ko usne banaya,
Kehte hain ki isko usne apne hatho se hai sajaya.
Kya wo log sach kehte hain ya sach kehta hai ye vigyan.
Ki iss jahan ko kisi ne nahi banaya.
Phir…?
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !
Jo bas ham se mandiro mein milta hai,
Jo hamari her mannato ko sunta hai.
Kitno ki to mannate puri bhi hoti hai,
To kya sach mein hai ye bhagwan..?
Ager hai to kahan per hai ye bhagwan.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !
Kehte hain sab ki khuda to amar hai,
To phir ye kabhi kisi ko dikhai kyun nahi dete.
Unko pyar kerne wale kitne bhaqt hain unke yaha per,
Kabhi kisi se aaker mil kyun nahi lete.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !
Mante hain sab inko,
Per ye kahan hain ye koi janta nahi.
Kitni jagah hain, jahan kehte log ki ye niwas kerte hain,
Per wahan jaker dekho to bas patthar pade rehte hain.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !
ata nahi ki sach mein hai ya nahi,
Per phir bhi log iss khuda ko mante hain.
Or hamesha mante rahenge.
Bina jane ki,
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !
Main tum sabse bas itna kehna chahta hoon,
Khuda ko manna hai to patthar ki pooja mat karo.
Khuda ham sab ke ander hai,
Kinhi mandiro mein nahi.
Ager milna hoga khuda se,
To mil hi jayenge unse kahin na kahin.
Per ye sawal to dil rahega hamesha,
Aakhir Kaun hai Ye Khuda….?
“Aakhir Kaun hai Ye Khuda !”
your r right
ReplyDelete