Share it on :

Tuesday, 21 May 2013

Asko Ki Kahani Khud Asko Ki Zubaani


Asko ki kahani khud asko ki zubaani.
Sabse anmol sabse purani asko ki kahani.

Main bund hoon ek chhoti si bhar rakha khud mein thoda paani.
Nadaan hoon main thodi si hoon thodi si sayani.
Asko ki kahani ye hai meri kahani.

Jab dil tumhara dukhta hai to aankh mein main bhar aati hoon.
Tumhare har dard ko saant main karwati hoon.
Jazbaat bhare hain kitne tum mein,
Ehsaas tumko ye dilate hoon.
Bund hoon main ek chhoti si aansu main kehlati hoon.

Tum mujhko sabse chhipate ho par main chhip na pati hoon.
Jab band kar lete ho aankhein tum,
Main kisi kone se beh jati hoon.

Gam ho tumhare andar ya ho koi khishi ka mausam.
Main sabko yaad aati hoon har halaat mein main beh jati hoon.
Boon hoon main ek chhoti si aansu main kehlati hoon.

2 comments:

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"