Share it on :

Monday, 6 May 2013

Asko Ki To Apni Ek Alag Hi Duniya Basti Hai

Asko ki to apni ek alag hi duniya basti hai.
Jisme takleefe or khushiyaan sath sath rehti hain.
Asko ki to apni ek alag hi duniya basti hai.

Kuch dard or gam ka basera hai jisme.
Kuch suck or chain ka basera hai jisme.
Jahan tanhai ke sath khush haal zindagi bhi hoti hai.
Asko ki to apni ek alag hi duniya basti hai.

Yahan per asko ka hasna or rona sab ek tarah se hota hai.
Yahan per asko ka jagna or sona sab ek tarah se hota hai.
Asko ke liye to din or raat ek jaisi hi hoti hai.
Asko ki to apni ek alag hi duniya basti hai.

Inke liye kuch khona ho to wo bhi pani.
Inke liye kuch pana ho to wo bhi pani.
Asko ki apni sari duniya pani mein hi hoti hai.
Asko ki to apni ek alag hi duniya basti hai.

Inke roshini tab milti hai jab ham kabhi bhi rote hain.
Inki subha tab hoti hai jab aankhon se ye behte hain.
Warna inki to sari zindagi andhere mein kat jati hai.
Asko ki to apni ek alag hi duniya basti hai.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"