Share it on :

Monday, 8 April 2013

Abhi-Abhi

Ek lamha yaad aaya mujhko abhi-abhi.
Kuch yaado ko mere pass leker aaya wo abhi-abhi.
Na jane kya wajah thi uski mujhko yun tadpane ki,
Jo mere purane jakham kured gaya wo abhi-abhi.
Tanhaiyon mein jo meri her raat biti,
To bikhre hain mere ye jazbaat abhi-abhi.
Main to bas aahein bharta reh gaya,
Meri aankhon se kuch aansu nikle hain abhi-abhi.
Mera ye dil her waqt shor kerta raha,
Jaise meri khamoshiyon ne kahi ho kuch baat abhi-abhi.
Jiska mujhe barso se intezar tha,
Wo barsat aayi hai meri zindagi mein abhi-abhi.
Her waqt to gam tha meri zindagi mein,
Per thodi si khushiyaan bhi aayi hain abhi-abhi.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"