Haye re padhai ye
haye re padhai.
Na jane kiss pagal ne isko banai.
Isko pane ke liye karni padti hai ladai.
Itna dimaag lagaya fir bhi kuch na samajh mein aayi.
Haye re padhai ye haye re padhai.
Subha se lekar shaam tak milte hain baccho ko bas padhne ke
taane.
Par fir bhi bach jate hain wo bana kar kuch na kuch bahane.
Koshte hain fir rab ko kyun banai ye padhai.
Haye re padhai ye haye re padhai.
Sochte hain sab kyun na ham ban jaye mahatma sant.
Kyon ki iss padhi ka na hoga kabhi koi ant.
Iss padhi par kitno ne apni puri umr lutaai.
Haye re padhai ye haye re padhai.
Par ye bhi sach hai yaaro ki zaroori hai ye padhai.
Jisne bhi ise samjhi use har khushi isne dilaai.
Mano ya mano bade kaam ki hai ye padhai.
Zindagi mein hai hoti sabse anmol ye padhai.
Haye re padhai ye haye re padhai.
No comments:
Post a Comment