Share it on :

Thursday 23 May 2013

Zindagi Mein Ho Jata Hai Kabhi Kabhi

Zindagi mein ho jata hai kabhi kabhi.

In aankhon mein koi khwab bas jata hai.
Koi andekha sa sapna hamari raaton se jud jata hai.
Unko paane ka aata hai khayal kabhi kabhi.
Zindagi mein ho jata hai kabhi kabhi.

Raahon mein kisika sath dhoodhta hai ye dil.
Unsauljhe sawalo ka jawab dhoodhta hai ye dil.
Un manzilo par koi hamsafar mil jata hai kabhi kabhi.
Zindagi mein ho jata hai kabhi kabhi.

Kuch log hame anjane mein mil jaate hain.
Begaane ho kar bhi apne se ban jate hain.
Ek ajib sa rishta unse jud jaata hai kabhi kabhi.
Zindagi mein ho jata hai kabhi kabhi.

Pyar ki yaadein to har koi sajata hai.
Mohabbat ki kasme to har koi khata hai.
Par ye chahat bhi kuch galtiyaan karwata hai kabhi kabhi.
Zindagi mein ho jata hai kabhi kabhi.

Milta hai jo kuch use kabhi na kabhi khona padta hai.
Paayi hui har cheez ko bhulana padta hai.
Jivan hamko kabhi hasata hai to rulata hai kabhi kabhi.
Zindagi mein ho jata hai kabhi kabhi.





No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"