Maa aisi hi hoti hai.
Maa rote hue chehre ki hansi hoti hai.
Maa ruthe hue bacche ki khushi hoti hai.
Maa her dukh mein her sukh mein hamre pass hoti hai.
Maa se hi hamari sari khushi hoti hai.
Maa aisi hi hoti hai.
Maa hamare jivan mein pyar ka bhandaar hai.
Maa zamin per rehne wala khuda hai.
Maa se hi her mannat her duaa hai.
Maa her kisi ka jahaan hoti hai.
Maa aisi hi hoti hai.
Maa her waqt mein hamare sath hoti hai.
Maa hi hamari geeta hamara kuran hoti hai.
Maa ke chhune se hi hamare her dard door ho jate hain.
Maa her marz ki hamari dawa hoti hai.
Maa aisi hi hoti hai.
Maa khud roti hai,
Per hamko kabhi rone nahi deti.
Khud bhukhi reh jati hai,
Per hamko kabhi bhukha sone nahi deti.
Maa aisi hi hoti hai.
"Maa ke jaisa iss duniya mein na koi hai or na hoga."
No comments:
Post a Comment