Share it on :

Saturday 30 March 2013

Aaj Main Thoda Tanha Reh Gaya

Kuchh lamha tujh sang gujara,
Kuchh waqt tujh sang gujara,
Chand pal na ji pane ke kaaran,
Aaj main thoda tanha reh gaya.

Kuchh khushi mujh ko tujh se mili,
Kuchh gam maine tujh sang paaye,
Ek dard mil jaaane ke kaaran,
Aaj main thoda tanha reh gaya.

Tujhe yaad banaya maine,
Apna sapna banaya maine,
Tujhe apni chahat na bana pane ke karan,
Aaj main thoda tanha reh gaya.

Tujhe maine apni saanso mein basaya,
Tujh ko maine apni ruh banaya,
Tujhe dil mein na basa paane ke karan,
Aaj main thoda tanha reh gaya.

Tune meri aawaj ko suna,
Tune meri mehsus ki,
Meri dhadkan na sun paane ke karan,
Aaj main thoda tanha reh gaya.

Tujhe main samajh na aaya,
Ya meri chahat samajh na aayi,
Do jabz na samajh ne ke karan,
Aaj main thoda tanha reh gaya.

Iss khuda ko paaya maine,
Iss duniya ko paaya maine,
Bas ek tujhe na paane ke karan,
Aaj main thoda tanha reh gaya.

Tere bina aaj main thoda tanha reh gaya.

1 comment:

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"