Share it on :

Wednesday 1 January 2014

Kisi Ki Chahat Ki Aag

Kisi ki chahat ki aag mere seene me kabse jal rahi thi,
Fir tu kyun aayi meri in dhadkano mein jab mere dil me lagi aag ko bujhana na tha.

Mere asko ko rokte rokte meri palke thak gayi thi,
Fir khud ko kyun basaya in aankhon mein jab in palko ki jagah khudko bithana na tha.

Meri raate to yun hi kat rahi thi karwato mein,
Fir tu kyun aayi mere khwabo mein jab khud ko meri yaado mein thehrana na tha.

Meri sanse to dheere dheere apne aap rook rahi thi,
Meri ye akeli zindagi haule haule mar rahi thi.
Fir tu kyun aayi meri zindagi mein jab mujhe jeene ka ehsaas fir se dilana na tha.

Cheekh cheekh kar keh rahi hai meri rooh ab mujhe.....

Koi hai jo ab meri jagah le chuka hai.
Ek baat tujhe sacchi batlaau main yaara.
Tere jism ko jiski rooh ka hai intezaar wo sayad ab kisi or ka ho chuka hai.

Apne jism ko ab tu iss mitti mein mil jaane de,
Kyunki aalam hai ab ye ki tera jism bekaar ho chuka hai.

Ab to tu khud ko mujhme badal jaane de,
Tera khud ko mitane ka waqt ho chuka hai


1 comment:

  1. jeene ki wajah hai jeevan aur hamari jimmedari he ki ham jiye .sarhad pe ladte he sipahi isiliye hame ghar main chain se nind ati hai .
    bahut wajha mil jayegi ankhe kholo bas tum.

    ReplyDelete

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"