Share it on :

Tuesday, 16 April 2013

Dil Mein Thoda Dard Bhi Hai


Dil mein thoda dard bhi hai,
Dil ye thoda jard bhi hai.
Jane anjane mausam mein iss dil mein thoda sard bhi hai.

Dil mein thoda chain hain hai,
Hai thodi si dil mein bechaini bhi.
Meri ankahi baato se dil mein hai khamoshi bhi.

Dil mein thodi rahat hai,
Kisi na kisi ki to iss dil aahat hai.
Kahin na kahin dil mein kisi ko khone ki ghabrahat hai.

Dil mein to madhoshi hai,
Thodi si dil mein behoshi hai.
Janu na ki kiss ki iss dil mein sargoshi hai.

Dil mein halki tanhai hai,
Kisi ke ruh ki iss dil mein parchai hai.
Koi to hai jiske liye khuda se meri ye ladai hai.

Iss dil ko thodi si rahat hai,
Kyon iss iss mein kisi ki chahat hai.
Or kisi ko pane ke liye dil mein thodi si bagawat hai.

Dil mein thoda sa pyar bhi hai,
Dil mein thodi si takrar bhi hai.
Kisi ke liye iss dil mein khule dil se ikrar bhi hai.

Dil mein kisi ke liye kabuliyat hai,
To kisi ke liye inkaar hai.
Kahi to kisi kone mein dil mein kisi ke liye darkaar hai.

Thoda sa ladakpan hai dil mein,
Thodi si dil mein tadan bhi hai.
Kehte hain dil to baccha hai isme abhi thoda bachpana bh hai.

Do dilo mein doori hai,
Kuch to iski majboori hai.
Per iss dil mein thoda mohabbat rakhna bhi jaroori hai.

Iss dil mein kisi ka chehra hai,
Is dil ki yaado per kisi ka pehra hai.
Kisi ke dil mein rehne ke liye mera ye her lamha thehra hai.

Dil mein ishq ka mausam hai,
Dil bhi ye na jane kyun thoda sa gumsum hai.
Koi to hai iski wagah jiske sapno mein iss dil ki her raate gum hai.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"