Share it on :

Thursday 18 April 2013

Hai Dil Abhi Mujhme


Hai dil abhi mujhme ki main kuch chah sakta hoon.
Tute huye sapno ko wapas jod sakta hoon.
Bikhre huye lamho ko main samet sakta hoo.
Hai dil abhi mujhme ki main kuch chah sakta hoon.

Aankhon ki gardish mein main apni jhank sakta hoon.
Palko per apne khwab ab main aank sakta hoon.
Hai dil abhi mujhme ki main kuch chah sakta hoon.

Ruh ki bechaini ko main ab jaan sakta hoon.
Sanso ki tanhai ko main pehchan sakta hoon.
Hai dil abhi mujhme ki main kuch chah sakta hoon.

Aankhon mein ghulta pyar ka koi aks hai sayad,
Aks bhi hai ek aayina ye maan sakta hoon.
Hai dil abhi mujhme ki main kuch chah sakta hoon.

Kiski hai sargoshi mere kaano mein chubhti jo,
Hosh mein mad hoshi ka main armaan rakhta hoon.
Hai dil abhi mujhme ki main kuch chah sakta hoon.

Patthar ki bhi pooja to tumne ki hi hogi,
Main pyar ko bhagwan ka farman kehta hoon.
Hai dil abhi mujhme ki main kuch chah sakta hoon.

Chahat mein jo li jaye wo kasme nahi tut ti,
Main dil mohabbat ka ek makan kehta hoo.
Hai dil abhi mujhme ki main kuch chah sakta hoon.
Hai dil abhi mujhme ki main kuch chah sakta hoon.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"