Share it on :

Tuesday 21 May 2013

Aisa Kyun Hota Hai


Aisa kyun hota hai.
Hamare sapno se hamare har khwab juda ho jaate hain.
Kabhi manjile to kabhi-kabhi raaste kafaa ho jaate hain.
Aisa kyun hota hai.

Aisa kyun hota hai.
Jise chaho wo hamse door chala jata hai.
Bin maanga hua sa koi gam de jaata hai.
Jisme bas biti hui baatein yaad aati hain.
Aisi tanhaiyon mein in saanso ko chhod jata hai.
Aisa kyun hota hai.

Aisa kyun hota hai.
Maangi hui har duaa adhuri reh jaati hai.
Aashiqui mein apni saari duniya lut jaati hai.
Apne aap mein ye tanha dil koi kahaani gadta rehta hai.
Aisa kyun hota hai.
Aisa kyun hota hai.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"