Share it on :

Sunday 14 April 2013

Tanhai Mein


Tanhai mein tanhai se jyada main tanha raha.

Tanha thi rushwai meri tanha her pehra tha,
Tanha her parchayi meri tanha her sehra tha.
Chaha to na tha itni tanhai ka sath maine.
Per na jane kyun mera her lamha tanhaiyon mein thehra tha.

Her aahat mein tanhai meri her ehsas mein tanhai thi,
Mere her saanso mein faili bas tanhai thi.
Mangi na thi maine kabhi tanhai bhari ye raatein.
Per mere her sapne her khwabo mein tanhai thi.

Tanha hoke main khud tanhai mein tadapta raha,
Apni tanhai ko door kerne ke liye main khud tanhaiyon se ladta raha.
Socha na tha kabhi ki mujhe itni tanhai mein gujarna hoga.
Per meri her dhadkan mera her aks tanha raha.

Mera tanha her pal tanhai mein gujarta raha.
Kyonki,
Tanhai mein tanhai se jyada main tanha tha.









No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"