Share it on :

Sunday 5 May 2013

Asko Ki Her Baat Alag Si Lagti Hai


Asko ki her baat alag si lagti hai.
Iski to aankhon se mulakat alag si lagti hai.
Asko ki her baat alag si lagti hai.

Behti hui iski bunde kuch kehna chahti hain sayad,
In bundo ki to apni her darkaar alag si lagti hai.
Asko ki her baat alag si lagti hai.

Chupke-chupke se ye behti rehti hai.
Kitne gam ko khud mein thame rakhti hai.
Chubhti hongi isko bhi tanhaiyan iske nazro ki,
Lekin ye tanhaiyon mein bhi behti rehti hai.
Asko ki her baat alag si lagti hai.

Palko per aankhon ke ye hamesha ghumti rehti hai.
Ek mauka bas beh jane ka ye dhoondti rehti hai.
Ham rokna bhi chahe ager ise apne mann se,
Per ye to apne hi mann se behti hai or rukti hai.
Asko ki her baat alag si lagti hai.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"