Share it on :

Sunday, 28 April 2013

Dil Se Nikli Hui Her Awaaz Pyari Hoti Hai


Her saans ko apni-apni aah pyari hoti hai.
Her dhadkan ko kisi na kisi dhadkan se yari hoti hai.
Sabse nirali hoti hai iski bachkani herkate.
Dil se nikli hui her awaaz pyari hoti hai.

Hontho se nikle her labz hai kehte,
Ki unke sabdo ki suruaat pyari hai.
Her lamha apne her pal se hai kehta,
Ki unhe apne waqt ki her aagaz pyari hai.
Her sama apne parwane se hai kehta,
Ki to uski bas darkaar pyari hai.
Tanhaiyon mein dube ek aashiq ka hai kehna,
Ki usko to apni bas mohabbat pyari hai.
Ek dusman ko apni dusmani ki ladai pyari hai,
To ek bhakt ko apne khuda ki khudai pyari hai.
Ek musafir ka apne hamsafar se hai kehna,
Ki use to apne manjil ki her raah pyari hai.
Duniya mein kisi na kisi ko koi na koi cheez to pyari hi hai.
Per jo sabse pyari hai wo,
Dil se nikli hui her awaaz pyari hoti hai.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"