Share it on :

Saturday 13 April 2013

Kahin Koi Gam To Tha


Kahin koi gam to tha mere dil ke kisi kone mein,
Warna yun bit te na hamare her waqt kisi ko yaad kerke rone mein.
Pagal pan to hai mujh mein meri chahat ko pane ke liye,
Warna taklif na hoti bina uske khwab dekhe bina sone mein.

Ek dard sa to hai mere in jajbaton ke behne mein,
Warna dar na lagta mujhe apne dil ki bate kehne mein.
Kyon koi bhi ishq ki madhoshi mein khone se darta hai,
Jabki ek alag hi maja hai pyar ke iss nashe mein behak jaane mein.

Kabhi kisi kisi ki aahat to thi mere in dhadkano mein,
Per bas yaad banke reh gaye ab mere wo asko mein.
Yahin sochte rehte hain ki kyun keh na paaye apni dil ki bate unse,
Agar kaha hota to sayad wo hote aaj mere in panaho mein.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"