Share it on :

Monday 29 April 2013

To Dil Lagane Mein Maza Hi Alag Aata


Ager ye tanhaiyon mein tuta na kerta,
Ager ye dil dard mein khud se rutha na kerta.
To dil lagane mein maza hi alag aata.

Ager iss dil ko koi bechaini mehsus na hoti,
Ager iss dil ki galiyon mein taklife na hoti.
To dil lagane mein maza hi alag aata.

Ager dil mein wafai-bewafai ka koi matlab na hota,
Ager mein gam bhar jane per ye na rota.
To dil lagane mein maza hi alag aata.

Ager dil mein sukh or dukh ka fark na hota,
Ager dil mein pyar ka koi marz na hota.
To dil lagane mein maza hi alag aata.

Ager dil per kisi baat ka aser na hota,
Ager dil ye kisi per apne dilo-jaan se na marta.
To dil lagane mein maza hi alag aata.















No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"