Share it on :

Monday 29 April 2013

Iss Tarah Chaha Tujhe


Iss tarah chaha tujhe.
Ki tere siwa kuch or na main chah paya.
Iss tarah chaha tujhe.
Ki kabhi khud mein main jhank paya.
Iss tarah chaha tujhe.

Meri chahat ki had kya thi tujhe kya malum,
Meri mohabbat ki inteha kya thi tujhe kya malum,
Mit gaya main main tujhe chahne ke bad.
Iss tarah chaha tujhe.

Na jane kyon main khud se khafa ho gaya,
Mera her ansh mujhe juda ho gaya,
Tabah ho gayi meri ye bepak duniya.
Iss tarah chaha tujhe.

Meri aankhon se aansu rukte nahi ab kabhi,
Jo puchun iska karan,
To kuch kehte nahi ye mujhse kabhi.
Mera to her nilam ho gaya jaise,
Iss tarah chaha tujhe.

Meri baato her sabd bikher se gaye,
Meri aankhon se her khwab alag ho gaye.
Tadapti reh gayi meri saanse,
Tujhe mehsus kerne ke khatir,
Iss tarah chaha tujhe.

Na puch ki kitna chaha tujhe,
Bas jaan le itna jitni duwa ki hogi tune kabhi,
Us duwa se jyada chaha tujhe,
Iss tarah chaha tujhe.


No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"