Share it on :

Tuesday 30 April 2013

Jab Se Meri Ye Aankhe Teri Aankhon Se Mili Hain


Jab se meri ye aankhe teri aankhon se mili hain.
Mere nazro ko her jagah bas tu hi tu dikhi hai.
Mitaye nahi mitti wo tasveer in aankhon se,
Jo tasveer in aankhon ne tujhe dekh ker gadi hai.
Jab se meri ye aankhe teri aankhon se mili hain.

Tere chehre ke siwa kuch or isne dekhna hi na chaha,
Tere khwabo ke siwa kuch or apne palko per rakhna hi na chaha.
Na chaha kabhi iskne tujhse dooriyon ko badhana,
Teri nazro se nazre kabhi hatana hi na chaha.
Jab se meri ye aankhe teri aankhon se mili hain.

Tu meri khwahish tu mera jahaan ban gaya,
Tu meri mannat tu mera duwa ban gaya.
Tu ban gayi jaise zindagani meri,
Tu meri rehmat tu mera rehnuma ban gaya.
Jab se meri ye aankhe teri aankhon se mili hain.

Meri duniya jaise teri panaho mein basi hai,
Meri her manjile teri raho mein chhipi hain.
Mera to sab kuch ab tu hi ban gaya hai,
Jaise meri ye dhadkan teri saanso se chal rahi hai.
Jab se meri ye aankhe teri aankhon se mili hain.

 

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"