Share it on :

Friday 3 May 2013

Asko Ki Ye Kahani Ab Meri Jubani


Asko ki ye kahani.
Asko ki ye kahani ab meri jubani.
Asko ki ye kahani.
Na heer na ranjha, na koi raja na kisi rani ki kahani.
Ye to hai bas ek bund ki kahani.
Asko ki ye kahani.

Ek dastaan ye chhoti si bund ki hai.
Aankho se nikle ek ask ki hai.
Dil bher jane per aankho mein aa jata hai.
Ek waqt dekh ker aankho ke kisi kone se beh jata hai.
Dikhne mein chhote hain ye per inke maayine bade kehlate hain.
Bin bole jazbaato ko bayan kerwate ek bund bher ye pani.
Asko ki ye kahani.
Ye hain asko ki kahani.

Dard or khushi mein ye fark nahi kerte.
Darr jate hain insaan bhale hi,
Per kisi se kabhi ye ask nahi darte.
Chipa lete hain log inhe palko ko jhapkaker.
Ponch lete hain inko sab banaker koi bahana.
Per reh jati hai inki fir bhi aankhon mein nishani.
Asko ki ye kahani.
Ye hain asko ki kahani.

Sabke aankho mein ye aata hai chahe baccha ho ya budha.
Her dharm ke logo mein aata hai sikh ho ya ishai,
Hindu ho ya musalman.
Her umr ke logo mein aata hai budhapa ho ya jawani.
Asko ki ye kahani.
Ye hain asko ki kahani.

Kitne sare zakhmo ko apne aagosh mein bher lete hain ye ask.
Bade se bade gam ko ek choti si bund mein lapet lete hain ye ask.
Fir bhi ek awaaz tak nahi aati inme se,
Socho kitni taklifo ko apne ander samete rakhte hain ye ask.
Kitna dard bhare rakhti hai khud mein ye bund bher pani.
Asko ki ye kahani.
Ye thi asko ki kahani.
Sabse alag, sabse nirali or sabse purani.
Asko ki ye kahani.
Ye thi asko ki kahani.

 

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"