Share it on :

Sunday, 28 April 2013

Kavitao Mein Kavita Ek Meri Kavita


Kavitao mein kavita ek meri kavita.
Her kavita se pyari hai meri kavita.
Her tarah ke ras hai meri iss kavita mein.
Her kisi ke dil ko chune wali hai meri kavita.
Padhi hogi tumne apne jivan mein kitni kavitaye,
Utni hi achhi hogi meri ye kavita.
Likh raha hoon ek dastaan mere kavita likhne ki.
Zara dhyan se padhiyega…
Likhne batha tha ek din main kavita.
Socha tha ki likhunga sabse achhi kavita.
Jo sabko pasand aayegi sabke dil ko bhayegi.
Aisi kavita likhunga jo her kisi ke samajh mein aayegi.
Sochta raha ki kin sabdo ko likhu main iss kavita mein,
Jo sabko bha jaye meri iss kavita mein.
Yahan wahan dekhta raha apne hantho ko malta raha,
Suruaat karu kaise iss kavita ki yahi bas sochta raha.
Iss kavita mein kisi dusre ke sabd ko laaun,
Ya iss kavita mein apne khud ke sabd banaun.
Likh dali main ek aisi kavita,
Jiss kavita ko padhte-padhte mere aansu nikal aaye.
Kyonki iss kavita ke bol mujhe khud samajh na aaye.
Aisi thi meri kavita ki.
Main ise tumhe padhne ko de bhi nahi sakta.
Kyonki main apni kavita padhne walo ko,
Rula nahi sakta.
Yahi thi meri kahani meri pehli kavita likhne ki.
Phir kosis na ki maine aisi kavita likhne ki.
Kavitao mein kavita ek meri kavita.
Sabse sunder sabse pyari thi meri kavita.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"