Pyar andha hi nahi balki behra, gunga or langda bhi hota
hai.
Pyar andha kaise hota hai:
Pyar ke khatir kuch log galat raah pakad lete hain.
Jin par chal ker wo apni zindagi tabah kar lete hain.
Jo pyar aisi galtiyaan karwaye use andha nahi to or kya
kahenge.
Pyar behra kaise hota hai:
Pyar mein pada insane sirf apne pyar ke alawa or kisi ki
nahi sunta.
Ab bhale hi wo sahi ho ya galat.
Usko to bas ek hi awaaz sunai deti hai wo hai uske chahat
ki.
Aise pyar ko behra na kaha jaye to kya kaha jaye.
Pyar gunga kaise hota hai:
Pyar ki baatein dil mein dab kar reh jati hain.
Jubaan taka ate-aate khamoshi mein badal jati hain.
Kehna chahe bhi to kuch keh nahi pate.
Pyar mein aisi halat ho jati hai.
Pyar langda kaise hota hai:
Ek baar pyar kisi ko ho jaye to uske alawa iss dil ko kuch
or sujhta hi nahi hai.
Uska her waqt her lamha bas wahi par ruk jata hai.
Isiliye main kehta hoon ki pyar sirf andha hi nahi balki behra,
gunga or langda bhi hota hai.
Isi baat ko ulte tarike se padhne ke liye iss link per click
karein.
No comments:
Post a Comment