Share it on :

Saturday, 27 April 2013

Kuch To Khata Hui Hogi Mujhse


Kuch to khata hui hogi mujhse.
Jo ye sabd meri baton mein na reh paye.
Kuch to khata hui hogi mujhse.
Jo ye khwab mere sapne na ban paye.
Kuch to khata hui hogi mujhse.

Mere her raste meri manjilo se juda ho gaye,
Jo meri her khwahishe mere khwab ban ker reh gaye.
Kuch to khata hui hogi mujhse.

Sabke sath reh ker bhi mujhe akelapan mehsus hua.
Tanhaiyon ka her lamha bhi mujhe tanha mehsus hua.
Na jane kyun ye sunapan mere her pal mein bas gaya.
Kuch to khata hui hogi mujhse.
Kuch to khata hui hogi mujhse,

Jo meri ye sanse bas aah bharti reh gayi.
Jo meri ye dhadkan bewajah dhadakti reh gayi.
Behak gaye mere ye kadam mere rasto se.
Kuch to khata hui hogi mujhse.

Jo meri duwaye kahin dab ker reh gayi,
Jo meri her mannate adhuri reh gayi.
Kuch to khata hui hogi mujhse.
Kuch to khata hui hogi mujhse.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"