Share it on :

Showing posts with label Talaash. Show all posts
Showing posts with label Talaash. Show all posts

Saturday, 8 June 2013

Hamein To Bas Raaste Par Chalte Jaana Hai

Hamein to bas raaste par chalte jaana hai.
Chahe kitni bhi mushkilein ho raahon mein meri.
Ya saamna ho kitni bhi mushibaton se.
Hamein to bas raaste par chalte jaana hai.

Chahe mile hamein kitne bhi dard yahan.
Chahe badh jaaye mere kitne bhi jakham yahan.
Jo thaana hai wo to poora karke dikhaana hai.
Hamein to bas raaste par chalte jaana hai.

Apne armaano ko haasil karne ke liye.
Apne adhure se sapne ko poora karne ke liye.
Kuch duaaon ko haqeeqat mein badalne ke khatir.
Iss jahaan mein kuch banne ke khatir.
Hamein to bas raaste par chalte jaana hai.


Thursday, 6 June 2013

Ye Baware Mere Naina.

Na jaane kiske khwab hain wo jo din raat bunte hain.
Na jaane kiski yaadon mein subha sham jhumte hain.
Ye baware mere naina.

Kiska hai wo chehra jiski tashveer ko khud mein gadte hain.
Kya hai wo naam jiske kalme hamesha padhte hain.
Ye baware mere naina.

Kya hai usmein aisa jo uske har aks ko chumte hain.
Aakhir kaun hai wo jisko har bhid mein dhoondhte hain.
Ye baware mere naina.

Na jaane kya chahtein hain mujhse.
Ye baware mere naina.




Thursday, 18 April 2013

Kahin Koi to Hogi Mere Liye

Kahin koi to hogi mere liye.
Jise dekh ker main apna dard bhul jaunga.
Kahin koi hogi mere liye.

Jise pa ker lage jaise main sab kuch pa gaya.
Kahin koi to hogi mere liye.

Jisse mil ker lagega mujh sab kuch mil gaya.
Kahin koi to hogi mere liye.

Jo mere raaton mein khwab ban ker bas jayegi.
Jo meri yaade meri sanse ban jayegi.
Kahin koi to hogi mere liye.

Mere din ka her waqt jiska hoga.
Mera her lamha her pal jiska hoga.
Kahin koi to hogi mere liye.

Jo mere liye sari khushiyon ki wajah ban jayegi.
Jo mera dard meri tanhai ban jayegi.
Kahin koi to hogi mere liye.

Jo mere hosh mein madhoshi ban jayegi.
Jo mera chain mera sukun ban jayegi.
Kahin koi to hogi mere liye.

Jiski her aahein mere dil mein bas jayegi.
Jo meri chahat mera pyar ban jayegi.
Bitegi meri ye zindagani sang jiske,
Jo meri adhuri kahani ban jayegi.
Kahin koi to hogi mere liye.


Dhundhta Raha Main Her Gali

Dhundhta raha main her gali her jagah,
Per uske saye bhi main kahin na dhundh saka.
Jab chaha use maine khud mein dhundhana,
To uske yaado ke siwa main kuch or na pa saka.
Chahta to tha main uske sath zindagi bitana,
Per ek lamha bhi uske sath na bita saka.
Jab chaha ki uske yaado ke shahare bitaun sara jivan,
Per ek pal bhi wo meri yaado mein na reh saka.
Meri her manjile suni reh gayi,
Jab wo mere rasto per mere sath na chal saka.
Ham to bas aahein bherte reh gaye,
Per chah ker bhi ye dil kuch ker na saka.
Roti rahi meri aankein tanhaiyon mein herdam,
Per main chah ker bhi apne aansu kabhi ponch na saka.

Wednesday, 17 April 2013

Kahin Koi To Hoga


Kahin koi to hoga.
Kahin koi to hoga jo meri zindagi ko khushiyon se bher dega,
Kahin koi to hoga jo mere sare dard door ker dega,
Koi to hoga mere liye bana hoga,
Kahin koi to hoga jo mere sare sapne ko pura ker dega.
Kahin koi to hoga.

Kahin koi to hoga jiski aankhein sirf mujhko dekhna chahengi,
Kahin koi to hoga jiski baahein sirf mujhe thamna chahengi,
Koi to hoga jiski yaadon mein sirf ham honge,
Kahin koi to hoga jiski chahat sirf hamko mangengi.
Kahin koi to hoga.

Kahin koi to hoga jo mere sath mere her rasto per chalega,
Kahin koi to hoga jo mere subha banke khilega,
Koi to hoga jo mere hathon ko tham lega,
Kahin koi to hoga jo apne duwa mein mujhko mang lega.
Kahin koi to hoga.










More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"