Share it on :

Showing posts with label Reality. Show all posts
Showing posts with label Reality. Show all posts

Saturday, 26 October 2013

नारी की सच्चाई

जब शोर हुआ कोई आएगा।
आँगन को किलकारियो महकाएगा।
सबके चेहरे पर खुशियाँ थी।

जन्म हुआ जब मेरा और मैं इस दुनिया में आई।
पर आपनो को ही देख जरा थोड़ा सा घबराई।
सहम गया हर चेहरा जब मुझसे पहली नज़र मिलाई।
एक लड़की की दस्तक घर शायद किसी को रास न आई। 

बड़ी हुई जब थोड़ी सी और बाल अवस्था पाई।
मुझ पर इतनी जिम्मेदारी थी की उछल कूद न पाई।
मेरी भी कुछ एक चाहत थी, मैं भी कुछ बनना चाहती थी। 
पर चूल्हे-चौखट के कामो में छोक दी गयी मेरी पढाई। 

थोड़ी और बढ़ी और मेरी उम्र लगन की आई।
बिन जाने मेरी मर्जी एक अनजाने घर पर दी गयी बिहाई। 
जहाँ न पूछी गयी मेरी नियत न सूरत गयी दिखाई। 
रिश्तो के बाज़ार में बस मेरी कीमत गयी लगाई। 

अपने घर को छोड़ मैं पराये घर चली आई।
पर रह गयी यहाँ भी बन कर मैं खुद की एक परछाई।
सुना तो था की मर्जी से जीना और मरना मेरा जन्म सिद्ध अधिकार था। 
फिर क्यूँ जुल्म और अत्याचार की व्यथा मेरे हिस्से आई। 

इसी व्यथा के साथ बिता मेरा सारा जीवन। 
इसी व्यथा के साथ हुई मेरी विदाई।
पर एक पल के लिए भी यहाँ मैं खुश न रह  पायी।

" अब मैं पूछूँ तुम सबसे ये बात क्या यही है एक नारी सच्चाई।
 नहीं, उसने सही इतनी पीड़ा क्योकि वो अपनी आवाज़ उठा न पायी। 
क्योकि वो अपने हक के खातिर न लड़ पायी।"  



Thursday, 20 June 2013

Aisa Hai Mera Bharat Desh

Aisa hai mera bharat desh.
Yahan amiron ko izzat or garibon ko fatkaar milti hai.
Agar koi jaaye apna haq maangne iss desh mein.
To usko in bhrashtachari netaao ki sarkaar milti hai.
Aisa hai mera bharat desh.

Jahan ek aadmi ko aurat se jyada mana jata hai.
Jahan ek chhoti si bacchi ko kuch bolne se pehle hi sada ke liye khamosh kar diya jata hai.
Jahan ek ladke ko to puri azaadi di jaati hai.
Wahin ek ladki ko bas bandishein milti hain.
Aisa hai mera bharat desh.

Ye desh jise azaadi sab logo ne mil kar dilyai.
Jiski neev hard harm ke logo ne apne haantho se lagai.
Wahin sab jaati mein bhed-bhav karte hain.
Unchon ka sammaan to nichon ka apmaan karte hain.
Aisa hai mera bharat desh.

Jahan par subha to ho jaati hai par jagta koi nahi.
Jise sone ki chidiya kehte hain par ye desh un deshon mein aata hai jahan ab bhi garibi hai.
Yahan par kisi insaan ko kitna bhi mil jaaye par uski laalach nahi mitati.
Aisa hai mera bharat desh.

"Sach mein.....mera bharat mahan"


Sunday, 16 June 2013

Mere Papa “The Great”

Mere Papa “The Great”

Jab main iss duniya mein aaya.
Sabse pehle mujhko goad mein aapne uthaya.
Apni ungli dekar mujhko chalna sikhaaya.
Bolna sikhaaya mujhe hasna sikhaaya.
Jab-jab dagmagaaya main raasto par,
Aapne mujhko sambhalna sikhaaya.

Meri in aankhon ne to bas khwaab dekhe the,
Usko haqeeqat aapne banaya.
Har raaste par mera sahaara banker har pal mera sath nibhaaya.
Jab kabhi bhi mujhe kisi dost ki zarurat padi,
Aapne apna haath badhaaya.
Sayad main aapke bina kuch ban nahi pata.
Aapne hi to mujhe ek sadhaaran bacche se ek kaamyaab insaan banaya.

Aapse hi mera naam hai.
Aap hi to mera jahaan hain.
Mujhse aapki shaan hai.
Aapse hi to meri pehchaan hai.

Mere Papa “The Great”




Wednesday, 12 June 2013

Logon Ko Limit Mein Rehna Chahiye-Ultimate Compilation

Phone to iPhone Ya Blackberry hona chahiye
S2 S3 aur S4 to Train Ke Dabbe Bhi hote hai !

- Ladkiyan foreigner honi chahiye
Local to Mumbai ki Trains bhi hai !

- Relationship me Trust aur Pyaar hona chahiye 
Loyal toh Kutte bhi hote hai !

- Girlfriend Passionate honi chahiye...
Caring to Nurse bhi hai !

- Ladki andar se achi honi chahiye
Bahari nikhar to Fair & Lovely bhi deti hai !

- Wife ek best friend jaisi honi chahiye 
Life companion to S4 bhi hota hai !

- Ladka Sensitive hona chahiye
Emotions to WhatApp mein bhi hai !

- Ladki Mein Attitude hona chahiye
Angry Toh Aaj kal Birds bhi hote hai !

- Air condition cooling dena chahiye
Hava to Lays ke packet me bhi hoti hai !

- Cable ho toh Tata Sky jaisa
Dish toh har ghar ke kitchen me bhii hote hai !

- Aadmi ko Limit mai rehna chahiye
Unlimited toh mera Data Plan bhi hai !

- Cement to Pure honi chahiye
Strong to apni Dosti bhi hai

- Zindagi Suljhi hui honi chahiye
Uljhe huwe toh baal bhi hai !

- Ladki sweet honi chahiye
Tikhi to Ramdev ki Mirchi bhi hoti hai !

- Ladka Smart hona chahiye
Ameer to Mukesh Ambani ka beta bhi hai !

- Ladki me Sense of Humor hona chahiye
SUSHIL toh SHINDE bhi hota hai !

- Ladki asli me Ladki honi chahiye
Mahela toh Jaywardane bhi hai !

- Baal Swing honi chahiye
Shiny toh Ahuja bhi hai !

- Ladkiya hamesha khush honi chahiye
Kyuki rotlu to Shreeshanth bhi hai !

- Bachha ek hi paida hona chahiye
Twins to Tower bhi hai !

- Exams mein fail hona chahiye
Pass to Train ka bhi hai !

- Insan me Atma Sanman hona chahiye
Jaan to aaj kal Cement men bhi hai !

- Log special hone chahiye
Aam toh Fruit bhi hota hai !

- Bathroom mein Hair Dryer hona chahiye
Towel to Sreeshanth ke paas bhi hai !

- Aadmi ko khush rehna chahiye
Udaas to Pankaj bhi hai !

- Bande ke paas Izzat honi
chahiye
Paise to Sunny Leone ke paas bhi hai !

- Gaane me Sur hona chahiye
Dard to Anu Malik ke gaane ko sun ke bhi hota hai !

- Ladka handsome hona chahiye
Cool to Talcum Powder bhi hota hai !

- Baal majboot hone chahiye
Mulayam to Yadav bhi hai !

- Ladka accha hona chahiye

Smart to Phone bhi hota hai !!!


Monday, 10 June 2013

Ek Baar Apni Awaaz Utha Kar Dekh

Ek baar awaaz utha kar dekh.

Apni tu awaaz utha kar dekh.
Har koi sunega teri.
Bas ek baar tu khud ko jaga kar dekh.
Ek baar tu apni awaaz utha kar dekh.

Bhale hi ye sach ho ki ye duniya bas paise ki sunti hai.
Daulat mein hi inki saari khushiyaan basti hai.
Par sabke andar ek achha insaan bhi hota hai.
Tu unke andar ka wo insaan jaga kar dekh.
Ek baar tu apni awaaz utha kar dekh.

Gajab nasha hai iss hawa mein.
Kuch ban kar dekh iss jahaan mein.
Har manzil tere pass hogi.
Khud mein thodi himmat to la kar dekh.
Ek baar tu apni awaaz utha kar dekh.

Achha lagta hai dil ko kuch alag karne mein.
Par fir bhi darr lagta hai kuch naya karne mein.
Iss jahaan bas tera hi tera naam hoga.
Apne kadmo ko aage badha kar to dekha.
Ek baar tu apni awaaz utha kar dekh.

Iss duniya mein har koi bas khud ke liya jeeta hai.
Wahin sabhi niyam tode jaate hain jahan har zuban par geeta hai.
Apne saare sapne to poore kar liye tune.
Kisi doosre ke liye kabhi kuch karke to dekh.
Ek baar tu apni awaaz utha kar dekh.
Ek baar tu apni awaaz utha kar dekh.

"Iss duniya kabhi bhi apna haqq bina maange nahi milta."






Saturday, 8 June 2013

Kuch Karne Ki Chahat Ho Agar

Kuch karne ki chahat ho agar.
Koi bhi raasta fir mushkil nahi lagta.
Kuch karne ki chahat ho agar.

Har manzil aasaan lagne lagti hai.
Honthon par mushkaan badhne lagti hai.
Har mukaam ko pa saktein hain ham.
Apne aap se bhi lad saktein hain ham.
Kuch karne ki chahat ho agar.

Jo chaha ho kabhi wo sab mil jaata hai.
Har paraya lamha jaise apna ho jaata hai.
Aankhon mein naye armaan jagte hain.
Apne kuch alag se pehchaan bante hain.
Kuch karne ki chahat ho agar.

Kuch karne ki chahat ho agar to ye khuda bhi apni har dua sun pata hai.
Har jakham har dard ham se door ho jaata hai.
Kuch karne ki chahat ho agar.

Sang hamare bas khushiyaan hi khushiyaan hoti hain.




Saturday, 27 April 2013

Aadat Badal Jati Hai Per Fitrat Nahi Badalti


Aadat badal jati hai per fitrat nahi badalti.
Bigdi hui kabhi koi baat nahi sambhaalti,
Kishmat mein likhi hui takdeer nahi badalti,
Kuch logo ki,
Aadat badal jati hai per fitrat nahi badalti.

Jo log bhatak jate hain apne rasto se,
Un logo ko kabhi apni manjile nahi milti.
Dukh or dard to unhe her mod per mil jata hai,
Khushiyon ki unhe kabhi koi saugate nahi milti.
Kyonki Kuch logo ki, 
Aadat badal jati hai per fitrat nahi badalti.

Jin logo ki kishmat mein jakham likhe hote hain,
Unke uper se musibato ki chaya nahi hat ti.
Gujar to jati hai unki subha aaram se,
Per sukun se kabhi unki raate nahi gujarti.
Kyonki Kuch logo ki, 
Aadat badal jati hai per fitrat nahi badalti.

Tuesday, 23 April 2013

Khuda...Khuda...Khuda...? Aakhir Kaun hai Ye Khuda !


Aakhir Kaun hai Ye Khuda !
Kabhi kisi ko dikhai nahi deta,
Kabhi kisi ko ye sunai nahi deta.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Herkoi inko apna manta hai,
Herkoi inke bare mein sab kuch janta hai.
Inki pooja kerne mein sab itna kho jate hain,
Ki log apne aap ko hi bhul jate hai.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Kya wo sari bate sach hoti hain jo purano mein hain,
Ya hoti hai koi man se gadi hui kahaniya.
Wo khuda to kabhi kisi se mila nahi,
Per khub milti hain aaj kal uski nishniya.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Kehte hain sab ki iss jahan ko usne banaya,
Kehte hain ki isko usne apne hatho se hai sajaya.
Kya wo log sach kehte hain ya sach kehta hai ye vigyan.
Ki iss jahan ko kisi ne nahi banaya.
Phir…?
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Jo bas ham se mandiro mein milta hai,
Jo hamari her mannato ko sunta hai.
Kitno ki to mannate puri bhi hoti hai,
To kya sach mein hai ye bhagwan..?
Ager hai to kahan per hai ye bhagwan.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Kehte hain sab ki khuda to amar hai,
To phir ye kabhi kisi ko dikhai kyun nahi dete.
Unko pyar kerne wale kitne bhaqt hain unke yaha per,
Kabhi kisi se aaker mil kyun nahi lete.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Mante hain sab inko,
Per ye kahan hain ye koi janta nahi.
Kitni jagah hain, jahan kehte log ki ye niwas kerte hain,
Per wahan jaker dekho to bas patthar pade rehte hain.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

ata nahi ki sach mein hai ya nahi,
Per phir bhi log iss khuda ko mante hain.
Or hamesha mante rahenge.
Bina jane ki,
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Main tum sabse bas itna kehna chahta hoon,
Khuda ko manna hai to patthar ki pooja mat karo.
Khuda ham sab ke ander hai,
Kinhi mandiro mein nahi.
Ager milna hoga khuda se,
To mil hi jayenge unse kahin na kahin.
Per ye sawal to dil rahega hamesha,
Aakhir Kaun hai Ye Khuda….?
“Aakhir Kaun hai Ye Khuda !”















More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"