Share it on :

Showing posts with label Bas Tum Hi Ho. Show all posts
Showing posts with label Bas Tum Hi Ho. Show all posts

Wednesday, 1 January 2014

Mujh Se Pehle Mujh Mein Auqaat Teri Hai

Meri baaton mein milti har silwate teri hai.
Meri raate jisme gujre wo har karwate teri hai.
Jaane kaisa nashaa chhaya hai teri adaao ka mujh par.
Sab-o-roz mujh mein jhalakti har harkate teri hai.

Na ho raaho mein tera saath har mukaam adhure hain.
Teri ek haan bin mere armaan adhure hain.
Mujhe bad-hawashi mein dubane wali sirf karamaat teri hai.
Mere jivan mein khushiyon ki barsaat teri hai.

Main jiss aor chala jaaun mujhe tu dikhta hai.
Tu naraaz ho to mera ye dil dukhta hai.
Teri chahat bhul jaaun mujhe saugaat teri hai.
Mujh se pehle mujh mein auqaat teri hai.
 
 

Ye Pyara Sa Chehra

Ye pyara sa chehra.
Mushkurata sa chehra.
Chaand ki roshini sa jhilmilata sa chehra.

Kya noor hai isme.
Jaise koi hoor hai isme.
Sabko mad-hosh karata kuch to jarur hai isme.

Be-nazeer inaayat hai.
Khuda ki tujh par himaayat hai.
Kyun pal pal ye gir jaati hai,
Bas ek yahi palko se apni sikaayat hai.

Koi chaah kar bhi tujhse kabhi rooth na sake.
Koi khwaab tere aankhon se kabhi toot na sake.
Jud jaaye jiska haath tere haath se,
Umr saari gujar jaaye par wo chhut na sake.

Nikle duaa meri iss lab se to wo tere ask adhure ho.
Hai khwahish meri iss dil se,
Teri har mannat, Teri har chahat, Tere har armaan pure ho.
 
 

Agar Tu Na Ho To

Agar tu na ho to soona mera har sama hai.
Bina tere kisi khusboo se anchhui ye hawa hai.
Kya hua agar ye jamana mere pichhe chal pada,
Bin chahat ke tere adhura ab bhi mera jahaan hai.

Sukoon bhari raatein to hain mere sath.
Par unme koi sunehra sapna kahaan hai.
Aankhon se aansu to main rok leta hoon sahib,
Par tanha hoon itna ki meri palke ruwaan hai.

Ho na yakin tujhko meri mohabbat ka agar.
Dikh na raha ho tujhko meri chahat ka asar.
To puchh khud se ek baari apne dil pe haath rakh kar,
Meri aashiqui ka to khud ye khuda gawaah hai.
 
 

Sunday, 6 October 2013

Apna Bana Kar Dekh lo

Tumhari yaado mein to thodi bahut jagah bana hi li hai maine,
Apni raato ka har khwab bhi mere sang saja kar dekh lo.
Mana tumhari ye palke kisi or ke sajde jhukti hain,
Bas ek nazar mujhe dekhne ko inhe ek baar utha kar dekh lo.

Tere raaste mein khada hoon apni khushiyon ko bichhaye.
Meri har manjil ko apna mukaam bana kar dekh lo.
Yun kalpana ka ek chehra apne dil mein to har koi basa leta hai,
Mujhko tum ek baar bas haqiqat bana kar dekh lo.

Sikayat ka ek mauka bhi na dunga tumhe,
Ek baari mera pyar aajma kar dekh ko.
Bas itni si gujarish hai meri tumse,

Ek baar mujhko tum apna bana kar dekh lo.


Ek Baar Hann To kehde

Tere palko par har raato mein main khwabo ko saja dunga.
Teri har ek khwahish ko main haqiqat bana dunga.
Bas ek bar tu mujhko apna kar to dekh.
Ek baar haan keh kar to dekh.

Har raaste tere mai foolo ki khusboo se bhar dunga.
Har gam har muskilo ko tujhse main door hata dunga.
Bas ek baar meri nazro se nazre mila kar to dekh.
Ek baar haan keh kar to dekh.

Main ye to nahi kehta ki tere liye chand-sitare tod launga.
Kyonki ye mumkin hi nahi.
Par ye wada hai mera tujhse,
Ki Tere daman mein duniya bhar ki la kar khushiyan rakh dunga.
Meri chahat ko ek bar apna kar to dekh.

Ek baar haan to keh kar dekh.


Afsaane Badal Diye

Iss kadar khud ko bhul jaane ki kabhi khwahish to na thi,
Par tujhe dekha maine jabse maine apne saare iraade badal diye.
Tujhe teri manzilon tak pahunchane ki chahat mein,
Har ek maine apne raaste badal diye.

Tere khwabon ke khatir main raaton mein jaagta raha,
Jinme tu mujhe mil har unn sapno ke pichhe bhagta raha.
Tujhe sunne ke khatir to maine apne farmaan badal diye.
Koi ek bhi duaa teri adhuri na reh jaaye,
Iss chahat mein mapne apne saare armaan badal diye.

Ab bas ek tamanna hai iss dil ki tu mujhe mil jaaye,
Tu hi mera har kalma tu hi meri duniya ban jaaye.
Iss aarzoo mein maine khuda ke har paimaane badal diye.
Tere saath apni zindagi ki ek kahani likhne ke khatir,

Khud ke kitne afsaaane badal diye.


Tuesday, 1 October 2013

Itni muskilon se to tu pass aaya hai mere.

Itni muskilon se to tu pass aaya hai mere.
Fir tune soch kaise liya ki main tujhko yun hi door jaane dunga.
Apni dil lagi ki intehaan tak chaha hai tujhko,
Fir kaise main tujhko apni chahat ko bhulane dunga.

Ho chahe kitni bhi muskile raaste mein teri,
Main kisi bhi dard ko kabhi tujh tak aane na dunga.
Ho shaqq agar mujh par to aajma kar dekh le,
Khud par se bharosa tera kabhi uthne na dunga.

Koshish bhi karega agar tu bhulaane ki mujhko,
Kahunga bhul ja tu apna sab kuch in panaho mein meri.

Par khud ko kabhi bhi tujhko main bhulane na dunga.


Friday, 27 September 2013

Tu Apne Har Asko Ko Mere Palko Par Saja De

Tu apne har asko ko mere palko par saja de.
Har dard ko mere apni khushiyon se mita de.
Kar pyar mujhko itna ki main khud ko bhul jaaun,
Bechain dhadkano ko tu meri apne dil ne jagah de.

Meri rooh tere jism se milne ko bekarar hai.
Meri saanse tere khatir ab rukne ko taiyaar hain.
Meri mohabbat ko tu apne jeene ka zariya bana de.
Khwahishein apni saari mere chahto par luta de.

Kar bharosa ek baar tu mere pyar par ye yaara.

Meri zindagi se jud kar meri zindagaani bana de.


Saturday, 21 September 2013

Tujhe Apna Banane Ko Jee Karta Hai

Tere hi sang jeene ko tere hi sang mar jaane ko jee karta hai.
Tujhe apni yaado mein ab sajane ko jee karta hai.
Jis pyar ko pane ke khatir main firta raha dar badar,
Wo pyar ab tujh par lutane ko jee karta hai.

Tujhe chaha hai maine apni chahat ke intehaan tak,
Ki ab iss chahat mein sab kuch bhulane ko jee karta hai.
Mujhe likhne ka sauk to na tha tujhse milne se pehle.
Par ab tujhko apne likhe kalme sunane ko jee karta hai.

Tere husn ne bana diya itna tera diwaana mujhe,

Bas teri aashiqui mein ab kuch bhi kar jaane ko jee karta hai.


Tujhe Kabhi Bhi Khud Se Bichhadne Na Dunga.

Tere palko par asko ko kabhi rukne na dunga.
Teri jehan me kisi gam ko ek pal ke liye bhi tikne na dunga.
Na tutega vishvaas tera meri chahat par se kabhi iss kadar chahunga tujhe,
Apni mohabbat mein teri nazro ko kabhi jhukne na dunga.

Har raaho par main hardam tera saaya ban chalunga.
Ki tujhe manzil se teri main kabhi bhatakne na dunga.
Muskile to hongi teri khwahishon ke raasto par,
Par bina mujhko chhuye un muskilo ko tujhse gujarne na dunga.

Ab chahe to khuda bhi dekh le tere mere bich ki rukaawat ban kar,
Rahunga main zindagi bhar tere sath teri chahat ban kar,

Ki teri saanso ko apne rooh, teri dhadkan ko apne dil se or tujhe kabhi bhi khud se bichhadne na dunga.


Thursday, 19 September 2013

Teri Khushiyon Ke Khatir

Teri bato mein apni har khamoshi door hata doon.
Tu jo mil jaaye ek baari main sari duniya bhula doon.
Teri khwahishon ko pura karne ke khatir sayad jee raha hoon.
Tere upar to main apni sari chahte luta doon.

Apne dil mein chhipaye sare gile-sikwe mita doon.
Sare lamhe apni zindagi ke tere saaye mein bita doon.
Iss kadar tujhko chaha hai maine ye sanam,

Ki teri khushiyon ki ke liye apne sare khwabo ko jala doon.


Wednesday, 18 September 2013

Tum Jo Mile Mujhko

Tum jo mile mujhko jahaan mil gaya.
Khwabon ka mujhko jaise koi kaarwaan mil gaya.
Bin tumhare yun zameen par awaara fira karta tha,
Tum jo mile mujhko aasmaan mil gaya.

Tere bin har lamha bhi mujhko gunaah lagta hai,
Tere sang reh kar teri khushboo se bhara sama mil gaya.
Ab se pehle iss khuda ko maine kabhi dekha bhi na tha.
Tum jo mile mujhko khuda mil gaya.

Tum jo mile mujhko jahaan mil gaya.


Zibdagi Mein

Mujhe mil jaaye tu agar ek baar zibdagi mein.
Fir kyun karun main khuda ka intezaar zindagi mein.
Teri dhadkan main ban jaaun, tujhe apni saanso mein basa loon.
Iske siwa kuch or na ab chah zindagi mein.

Tu meri har khushi, tu meri bandagi, tu mera kuch paane ka khumaar zindagi mein.
Mere jeene ka sahaara teri aashiqui, teri mohabbat, tera ikraar zindagi mein.


Har kisi ko nahi milta yahan pyar zindagi mein.

Khusnasib hoon main ki mujhko mili ye bahaar zindagi mein.


Jee Raha Hoon Main

Uske lafzo ko apni baato mein saza kar jee raha hoon main.
Uski yaado mein har lamhe bita kar jee raha hoon main.
Main ne chaha use iss tarah ki main ise khud na samajh paya,
Uske khwabon mein apne sare sapne bhula kar jee raha hoon main.

Ek tamanna hai bas usko paane ki zindagi mein.
Jannat ko uske kadmo mein bichhane ki zindagi mein.
Har khwahishon mein uske apni khushiyaan bhula kar jee raha hoon main.

Uski chahat mein apni sari duniya bhula kar jee raha hoon main.




Monday, 16 September 2013

Ab Se usko Bhula Dunga

Aaj ek faisla kiya hai maine.
Ab se usko bhula dunga.
Jo-Jo baate ki hai maine uske saath,
Har wo baate apne yaadon se mita dunga.
Ab se usko bhula dunga.

Har waqt har mode par uska saath diya maine,
Uski har taklif ko apne sar mole liya maine.
Fir bhi wo mujhko apni berukhi dikhata raha,
Apni kuch baton se mera dil dukhata raha.
Uski har tasveer ko iss dil se hata dunga.
Ab se usko bhula dunga.

Ab se mere kisi lafz mein wo na hogi,
Ab usse mere kisi kaam ki suruaat na hogi.
Na hoga uska koi saya bhi mere saath mere raaston par,
Mere honthon par uske naam ki ab se darkaar na hogi.
Usse apna har naata main har rishta tod dunga.

Ab se usko bhula dunga.




Sunday, 8 September 2013

Ab To Tamanna Hai Bas Uske Baahon Mein Mar Jaane Ki


Khwahish to na thi kisi par iss kadar mit jaane ki,
Kisi ki khushiyon ke khatir apne armaano ko bhul jaane ki.
Par pehli nazar mein hi usne mujhko apna aashiq bana diya,
Ki ab to tamanna hai bas uske baahon mein mar jaane ki.

Dekhe bina usko ab main reh nahi sakta,
Bina uske main ek pal bhi ab jee nahi sakta.
Bhula diya khudko maine iss kadar aashiqui mein uske,
Ki ab to tamanna hai bas uske baahon mein mar jaane ki.

Har dua mein maine uski yaadein maangi hain,
Paane ki usko bas fariyafein maangi hain.
Ab aarzoo hai bas uski dil ki har dhadkan ban jaane ki,
Ki ab to tamanna hai bas uske baahon mein mar jaane ki.


Saturday, 7 September 2013

Meri Zindagi Mein Ab Tak Wo Aaya Nahi


Iss dil ne jiske khwab sajaye.
Jiski yaadon ke sang har lamhe bitaye.
Bina jiske maine koi sapna sajaya nahi.
Meri zindagi mein ab tak wo aaya nahi.

Jisko pane ki iss dil mein sada chahat hai meri.
Aarzoo hai jisko saanso mein basane ki meri.
Jiska naam apne dil ki dhadkano se kabhi mitaya nahi.
Meri zindagi mein ab tak wo aaya nahi.

Jiske saath ye zindagaani bitani ki sochi hai.
Jiski khwahishon par apni khushiyaan lutane ki sochi hai.
Jisne apni nazron ko ab tak mujhse milaya nahi.
Meri zindagi mein ab tak wo aaya nahi.

Jiske chehre se jyada kuch or ab mujhko pyara nahi.
Jiske bina jeena ek pal bhi ab mujhko gawaara nahi.
Meri zindagi mein abtak wo aaya nahi.



 

Thursday, 29 August 2013

Meri Har Dua Mein tu


Meri chahat meri har wafa mein tu.

Meri mannat meri har dua mein tu.



Mere sabdo mein meri har raaton mein.

Mere sapne mere har jazbaaton mein.

Mere har kalme meri har baaton mein tu.

Meri fariyaad meri har dua mein tu.



Meri pyaas mein meri har aas mein.

Mere har kaam ki shuruaat mein.

Mere har lamhe mein har ghadi mein tu.

Meri khudaai meri har dua mein tu.



Meri aahon mein meri panaahon mein.

Meri dewaangi mein jafaao mein.

Meri fizaa meri har hawa mein tu.

Meri aarzoo mein har dua mein tu.



Saturday, 8 June 2013

Tujhse Wada Raha Mera

Tujhse wada raha mera.
Apna har lamha tere pass bitaunga.
Har mod par tera sath nibhaunga.
Tujhse wada raha mera.

Har jakhmo ko tere khushiyon se bhar dunga.
Saare dukh dard tere door kar dunga.
Tujhse wada raha mera.

Tujhe raaston par akela kabhi chalne na dunga.
Teri manzil ko tujhse door kabhi hone na dunga.
Tujhse wada raha mera.

Jo chahega tu zindagi mein wo sab kuch tujhe la kar dunga.
Saari duniya ko main tere kadmo mein rakh dunga.
Tujhse wada raha mera.

Tu chahat hai meri har iltaja mein tu hai.
Tujhe chaha hai hamesha tujhe chahunga hardam.
Tujhse wada raha mera.

Wada raha ki har janam mein main tera hi rahunga.
Har janam mein main tujhi ko apna hamsafar banaaunga.
Tujhse wada raha mera.
Tujhse wada raha mera.




Dil Ko Iss Kadar Tadpaya Na Karo

Dil ko iss kadar tadpaya na karo.
Mere sapno mein ek baar to aa jaaya karo.
Mere khwabon ko apni yaadon mein sajaaya karo.
Bhula kar yun apni sari pyari baton ko.
Dil ko iss kadar tadpaya na karo.

Meri saanson ko apni aanhon mein rehne se yun roka na karo.
Mere dil se apni dhadkano ko nikala na karo.
Mujhse tum yun hi dooriyaan badha kar.
Dil ko iss kadar tadpaya na karo.

Meri chahat ko khud mein chhipaya na karo.
Mujhko tum yun tadpaya na karo.
Meri rooh ko apne jism se alag karke.
Dil ko iss kadar tadpaya na karo.





More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"