Share it on :

Showing posts with label Bewafaai. Show all posts
Showing posts with label Bewafaai. Show all posts

Tuesday, 1 October 2013

Mujhse Kya Khata Ho Gayi

Aisi bhi mujhse kya khata ho gayi.
Jo meri chahat mujhse juda ho gayi.
Lakh koshish ki usko manane ki maine,
Apne sabdo se samjhane ki maine.
Par wo sunti bhi kaise mere sabdo ko,
Jab meri awaaze mujhse kafa ho gayi.

Tut kar chaha maine usko apne dilo jaan se,
Par bereham wo to jaise bewafa ho gayi.
Meri aankhein jam gayi meri har saanse tham gayi.
Jab uski raah takte takte intehaan ho gayi.


Wednesday, 18 September 2013

Mera Yaar Na Mila Mujhko

Yun hi so kar raat bitane ka kya faayeda,
Jab raato mein uska khwab na mila mujhko.

Har muskil ko manzil banane ka kya faayeda,
Jab raahon mein uska sath na mila mujhko.

Jab wo mera hi na ban paya to kya faayeda khuda se uske khatir fariyaad lagane ka,

Ab kya faayeda iss duniya mein jeene ka,

Jab iss zindagi mein uska pyar na mila mujhko.



Saturday, 8 June 2013

Dil Ko Iss Kadar Tadpaya Na Karo

Dil ko iss kadar tadpaya na karo.
Mere sapno mein ek baar to aa jaaya karo.
Mere khwabon ko apni yaadon mein sajaaya karo.
Bhula kar yun apni sari pyari baton ko.
Dil ko iss kadar tadpaya na karo.

Meri saanson ko apni aanhon mein rehne se yun roka na karo.
Mere dil se apni dhadkano ko nikala na karo.
Mujhse tum yun hi dooriyaan badha kar.
Dil ko iss kadar tadpaya na karo.

Meri chahat ko khud mein chhipaya na karo.
Mujhko tum yun tadpaya na karo.
Meri rooh ko apne jism se alag karke.
Dil ko iss kadar tadpaya na karo.





Thursday, 6 June 2013

Main Kyun Samajh Na Paya

Main kyun samajh na paya.

Uski bin matlab ki baton ko.
Uske jhoothe jazbaaton ko.
Main kyun samajh na paya.

Uski jakhmo se bhari yaadon ko.
Uski bas khud ke liye maangi hui fariyaadon ko.
Main kyun samajh na paya.

Bin mausam ki barsaatein use bhul jane ko kehti rahi.
Meri karwaton se bhari raatein uske har sapno ko tadti rahi.
Main kyun samajh na paya.

Mera dil kehta raha mujhse ki uski chahat tere kaabil nahi.
Par apne dil ke ishaaron ko.
Main kyun samajh na paya.

Uski matlabi chahat ko.
Uske jhuthe kashme waado ko.
Main kyun samajh na paya.

Aaj jab tanhai me tanha rota hoon tab mujhe samajh mein aaya ki maine to use samjha par sayad mujhe kabhi wo samajh na paya.




Friday, 26 April 2013

Phir Kyun Mujhko Yun Hi Tanha Chod Gaye Tum


Mere lafzo ko apni aawaz bana li tumne,
Meri baato mein apni baate bhula di tumne,
Kabhi door na jane diya mujhko apni nazro se,
Phir kyun mujhko yun hi tanha chod gaye tum.

Mere khwabo ko apne sapno mein basaya,
Meri yaado ko apne khayalo mein sajaya,
Na bhulaya mujhko kabhi apne irado se tumne,
Phir kyun mujhko yun hi tanha chod gaye tum.

Meri aahat ko tumne herdam mehsus kiya,
Meri chahat mein tumne khud ko tak bhula diya,
Mere her fasane ko apna afsana bana liya tumne,
Phir kyun mujhko yun hi tanha chod gaye tum.

pna to liya tha meri mohabbat ko tumne,
Mere pyar ko jine ka jariya banaya tumne.
Meri zindagi ko apni zindagani banayi,
Mujhko apni kahani banai.
Phir kyun mujhko yun hi tanha chod gaye tum.

Thursday, 18 April 2013

Dhundhta Raha Main Her Gali

Dhundhta raha main her gali her jagah,
Per uske saye bhi main kahin na dhundh saka.
Jab chaha use maine khud mein dhundhana,
To uske yaado ke siwa main kuch or na pa saka.
Chahta to tha main uske sath zindagi bitana,
Per ek lamha bhi uske sath na bita saka.
Jab chaha ki uske yaado ke shahare bitaun sara jivan,
Per ek pal bhi wo meri yaado mein na reh saka.
Meri her manjile suni reh gayi,
Jab wo mere rasto per mere sath na chal saka.
Ham to bas aahein bherte reh gaye,
Per chah ker bhi ye dil kuch ker na saka.
Roti rahi meri aankein tanhaiyon mein herdam,
Per main chah ker bhi apne aansu kabhi ponch na saka.

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"