Share it on :

Showing posts with label Khuda. Show all posts
Showing posts with label Khuda. Show all posts

Wednesday, 15 May 2013

Par Meri Iss Khuda Ne Kabhi Suni Hi Nahi


Kar sakta agar main guzaarish koi to tere sang zindagani ki karta.
Milti agar koi duaa mujhe to main tujhe maang leta.
Sunta agar ye khuda meri to tu kabka mera ho chuka hota.
Par afsos to iss baat ka hai ki,
Iss khuda ne meri kabhi suni hi nahi.

Suni hoti agar meri iss khuda ne,
To meri har gardishon mein aaj tu hota.
Teri chahat ke saaye mein main ji raha hota.
Duniya ki har khushi mere pass hoti.
Par meri iss khuda ne kabhi suni hi nahi.

Suni hoti agar meri iss khuda ne,
To aaj meri saanse teri saanso ke sath chal rahi hoti.
To aaj meri ye kahani tere sath ban rahi hoti.
Suni hoti agar meri iss khuda ne,
To sayad aaj main zindaa hota.
Par meri iss khuda ne kabhi suni hi nahi.


Monday, 13 May 2013

Khuda Apne Bando Mein Farq Karta Hai


Kehte hai khuda kabhi kisi mein farq nahi kerta.
Magar wo karta hai.
Khuda apne bando mein farq karta hai.

Kisiko bin mange sab de deta hai.
Kisiko mangne per bhi kuch nahi deta.
Kyonki,
Khuda apne bando mein farq karta hai.

Kisiko rehne ke liye do gaz zameen nahi milti.
To kisi ko do sau gaz zameen bhi kam padti hai.
Kyonki,
Khuda apne bando mein farq karta hai.

Kisiko khushi ka ek tukda nahi milta.
To kisiko khushi ka khazana mil jata hai.
Kyonki,
Khuda apne bando mein farq karta hai.

Koi rehne ke liye aasmaan ki uchaiyon tak pahunch jata hai.
To kisiko rehne ke liye zameen bhi naseeb nahi hoti.
Kyonki,
Khuda apne bando mein farq karta hai.

Kisiki to ye her mannat puri ker deta hai.
Or kisiki ek duwa bhi nahi sunta.
Kyonki,
Khuda apne bando mein farq karta hai.

Wednesday, 1 May 2013

Khuda Ki Rehmat Mein


Sab kuch mil jayega tujhe khuda ki rehmat mein.
Her gam mit jayega tera khuda ki rehmat mein.
Jahaan mein sabse jyda tu sukun yahan payega,
Aaker dekh ek bar khuda ki rehmat mein.

Kitno ki takdire bani khuda ki rehmat mein,
Kitno ko apne jahaan mile khuda ki rehmat mein.
Kabhi na kabhi to her koi aa hi jata hai yahan chal ker,
Kyonki khushiyan milti hain sabko khuda ki rehmat mein.

Dukhiyon ke dukh door ho jate hain,
Aashiko ko unke pyar mil jate hain.
Jannato se bhi sunder aashiyana dikhta hai unko,
Her bar aate hain jo khuda ki rehmat mein.

Khuda ki rehmat se pyari koi cheez nahi iss duniya mein.
Khuda ki rehmat se bada kuch or nahi iss duniya mein.
Chhote se mein pura sansar hai khuda ki rehmat.
Sabko apna ansh dikh jata hai khuda ki rehmat mein.



Monday, 29 April 2013

Jannate Khuda Tu Mera Khuda


Jannate khuda tu mera khuda.

Tu jo dikha sab dikha mujhko,
Tu jo mila sab mila mujhko,
Tu hi ab ho panaho mein,
Yahi socha or chaha tujhko.
Jannate khuda tu mera khuda.
Tu meri zindagi hai tu mera jahan.

Mere dil ka dhadkana tu,
Mere mann ka machalna tu,
Tu ab meri saanso mein,
Mera jina or marna tu.
Jannate khuda tu mera khuda.
Tu meri zindagi hai tu mera jahan.

Mere asko ka behna tu,
Mere pal ka theharna tu,
Tu hi ab her lamha mera,
Meri aashiqi ka kalma tu.
Jannate khuda tu mera khuda.
Tu meri zindagi hai tu mera jahan.

Tuesday, 23 April 2013

Khuda...Khuda...Khuda...? Aakhir Kaun hai Ye Khuda !


Aakhir Kaun hai Ye Khuda !
Kabhi kisi ko dikhai nahi deta,
Kabhi kisi ko ye sunai nahi deta.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Herkoi inko apna manta hai,
Herkoi inke bare mein sab kuch janta hai.
Inki pooja kerne mein sab itna kho jate hain,
Ki log apne aap ko hi bhul jate hai.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Kya wo sari bate sach hoti hain jo purano mein hain,
Ya hoti hai koi man se gadi hui kahaniya.
Wo khuda to kabhi kisi se mila nahi,
Per khub milti hain aaj kal uski nishniya.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Kehte hain sab ki iss jahan ko usne banaya,
Kehte hain ki isko usne apne hatho se hai sajaya.
Kya wo log sach kehte hain ya sach kehta hai ye vigyan.
Ki iss jahan ko kisi ne nahi banaya.
Phir…?
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Jo bas ham se mandiro mein milta hai,
Jo hamari her mannato ko sunta hai.
Kitno ki to mannate puri bhi hoti hai,
To kya sach mein hai ye bhagwan..?
Ager hai to kahan per hai ye bhagwan.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Kehte hain sab ki khuda to amar hai,
To phir ye kabhi kisi ko dikhai kyun nahi dete.
Unko pyar kerne wale kitne bhaqt hain unke yaha per,
Kabhi kisi se aaker mil kyun nahi lete.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Mante hain sab inko,
Per ye kahan hain ye koi janta nahi.
Kitni jagah hain, jahan kehte log ki ye niwas kerte hain,
Per wahan jaker dekho to bas patthar pade rehte hain.
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

ata nahi ki sach mein hai ya nahi,
Per phir bhi log iss khuda ko mante hain.
Or hamesha mante rahenge.
Bina jane ki,
Aakhir Kaun hai Ye Khuda !

Main tum sabse bas itna kehna chahta hoon,
Khuda ko manna hai to patthar ki pooja mat karo.
Khuda ham sab ke ander hai,
Kinhi mandiro mein nahi.
Ager milna hoga khuda se,
To mil hi jayenge unse kahin na kahin.
Per ye sawal to dil rahega hamesha,
Aakhir Kaun hai Ye Khuda….?
“Aakhir Kaun hai Ye Khuda !”















More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"