Share it on :

Friday 26 April 2013

Iss Pyar Ne To Mujhse Mere Jine Ka Tarika Chin Liya


Main kerta aaya wo jo main kerna chahta tha,
Mera ye her waqt jaise mera saya tha.
Jita aaya main apna her pal apne tarike se,
Iss pyar ne to mujhse mere jine ka tarika chin liya.

Apne sabdo ko main apne lafzo mein na lapa paya,
Apni bate main chah ker bhi kisi or ko na suna paya.
Kisi ne mujhse mer bolne ka salika chin liya,
Iss pyar ne to mujhse mere jine ka tarika chin liya.

Mere her kadam mere ishare nahi samjhte,
Mere raste mere manjer ke kinare nahi samajhte.
Kisi ne mujhse mere chalne ka salika chin liya.
Iss pyar ne to mujhse mere jine ka tarika chin liya.

Meri her rate ab adhuri reh jati hai,
Her subha ek naye andaaz mein khil jati hai.
Kisi ne mujhse meri nazro ka salika chin liya.
Iss pyar ne to mujhse mere jine ka tarika chin liya.

Bin chahe main ab her kaam ker jata hoon,
Her pal kisi ke khayalo mein kho jata hoon.
Kisi ne mujhse mere sochne ka salika chin liya.
Iss pyar ne to mujhse mere jine ka tarika chin liya.

Ab wo yaade yaad aati hai jinko na banaya kabhi maine,
Wo khwab dekh jata hoon jinko na dekha kabhi maine.
Kisi ne mujhse mera chain mera sukoon chin liya.
Iss pyar ne to mujhse mere jine ka tarika chin liya.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"