Mera pyar hi aisa hai.
Jise main tumko padha nahi sakta.
Tumhe bol kar main jisko suna nahi sakta.
Mera pyar hi aisa hai.
Sapno ke aasmaan mein ye mujhko ghumaata rehta hai.
Ek andekha sa chehra mere khwab mein dikhata rehta hai.
Na jaane kya chahta hai ye mere dil se,
Jo ye mere dil ke dhadkano ko or badhata rehta hai.
Mera pyar hi aisa hai.
Bhale hi meri ye yaadein dhundhli par jaaye.
Par mere pyar ko mujhme ye khone nahi deta.
Bhale hi main thak jaaun apni nakaamyaabi se.
Par kuch pane ki chahat ko mujhme sone nahi deta.
Mera pyar hi aisa hai.
Itni mannato ke baad jisko paaya hai maine.
Usse ye meri nazdikiyaan banaye rakhta hai.
Mere zehan mein uski aahat ko chhipaye rakhta hai.
Chahe mera waqt tham jaaye kuch pal ke liye.
Par meri zindagi ko ye thamne nahi deta.
Mera pyar hi aisa hai.
No comments:
Post a Comment