Share it on :

Friday, 31 May 2013

Ek Din Har Jagah Bas Mera Hi Naam Hoga

Ek din har jagah bas mera hi naam hoga.
Sabke labo par meri kavitao ka gungaan hoga.
Ek din har jagah bas mera hi naam hoga.

Aasmaan ke unchaaiyon se bhi unchin meri shaan hogi.
Iss dharti par meri ek alag hi pehchaan hogi.
Duniyaan ke har raaston par mera hi nishaan hoga.
Ek din har jagah bas mera hi naam hoga.

Sabke dilo par mere sabdo ki sarkaar hogi.
Har kisi ki ek din mujhse milne ki darkaar hogi.
Sabke sar par chadha mujhko sunne ka khumaar hoga.
Ek din har jagah bas mera hi naam hoga.

Mujhse suru hark kalmaa mujh par hi khatam har kuraan hoga.
Mere sabdo se gungunata har kisika zubaan hoga.
In hawaao par likhaa ek din mera farmaan hoga.
 Ek din har jagah bas mera hi naam hoga.

Iss zameen par mujh jaisa na dooza koi insaan hoga.
Na koi gaalib na kabira na koi tulsidas hoga.
Bas mera-Sirf mera ye saara jahaan hoga.

Ek din har jagah bas mere hi mera naam hoga.



No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"