Share it on :

Friday 26 April 2013

Kaun Jane Kal Waqt Kya Paigaam Le Ker Aaye


Main apna ab her khwab sajana chahun,
Sapno mein apne koi apna lana chahun.
Chahun main apni yaado ko or sajona,
Kaun jane kal waqt kya paigaam le ker aaye.

Main apne afsane dunaya ko sunana chahun,
Apne sabdo ko apna geet banana chahun.
Chahun main apne her bato ko banana,
Kaun jane kal waqt kya paigaam le ker aaye.

Main rasto per apne phool bichana chahun,
Her muskil ko apni manjil banana chahun.
Chahun main apna her mukaam hasil kerna,
Kaun jane kal waqt kya paigaam le ker aaye.

Ek aahat ko apne herdam pass rakhna chahun,
Kisi ko apni main chahat banana chahun.
Main chahun kisi ke uper apni mohabbat ko lutana,
Kaun jane kal waqt kya paigaam le ker aaye.

Main chahun ek pal mein apni sari khusiyon ko sametna,
Her lamhe mein sari zindagani ko lapetna.
Main chaun bas ab is sab ko haqiqat mein badalna,
Kaun jane kal waqt kya paigaam le ker aaye.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"