Share it on :

Wednesday 17 April 2013

Jabse Tujhko Chaha


Main apni baaton se ruth gaya,
Mera apna sab kuch chhut gaya,
Jabse tujhko chaha.

Koi lamha na main ji paya,
Koi sapna na main dekh paya.
Jin raho per bhi chala,
Maine khud ko tanha paya,
Jabse tujhko chaha.

Kuch rate suni pad gayi,
Mulakate suni pad gayi,
Meri pyari-pyari kuch yaade suni pad gayi,
Jabse tujhko chaha.

Main dil ko dhadkana bhul gaya,
Sanso ko behkana bhul gaya,
Main zindagi jina bhul gaya,
Jabse tujhko chaha.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"