Share it on :

Monday 15 April 2013

Aaj Mujhe Thoda Chain Aaya


Aaj mujhe thoda chain aaya.
Mere sapno mein jab tera khwab aaya,
Teri yaado ko jab maine apni mehfilo ke sath paya.
Aaj mujhe thoda chain aaya.

Apni aankhon mein jab maine teri tasveer ko basaya,
Jab mehsus kiya maine apne pas tera saya.
Aaj mujhe thoda chain aaya.

Tere pyar ko jab maine apni chahat banaya,
Her raste per maine jab tujhko sath paya.
Aaj mujhe thoda chain aaya.

Tere sabdo ko jab maine apne lafzo mein sajaya,
Apni zindagi mein jab tujhko apne hamsafar ke roop mein paya.
Aaj mujhe thoda chain aaya.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"