Mera pyar meri jaan hai.
Mera wajood mera imaan hai.
Mera pyar meri jaan hai.
Meri nazron ka sarmaana.
Meri palko ka jhapkana.
Meri aankhon mein basta armaan hai.
Mera pyar meri jaan hai.
Meri baaton ka har sabd.
Mere lafzon ki zubaan hai.
Mere honthon ki khaamoshi.
Meri boli ka farmaan hai.
Mera pyar meri jaan hai.
Mere saanso ki taazgi hai.
Mere dil ki aawaargi hai.
Meri manjil ka sahaara.
Meri khwabon ki udaan hai.
Mera pyar meri jaan hai.
Mera deen mera jahaan hai.
Meri zameen mera aasmaan hai.
Mera karam hai era dharma hai.
Mera kalmaa mera kuraan hai.
Mera pyar meri jaan hai.
Mera pyar meri jaan hai.
No comments:
Post a Comment