Share it on :

Tuesday 14 May 2013

Pyar Mein Aisa Hi Kyun Hota Hai


Pyar mein aisa hi kyun hota hai.
Kyun ye dil hamara hoker bhi hamara nahi hota.
Pyar mein aisa hi kyun hota hai.

Kyun hamari yaadein kisi or ki hoti hain.
Kyun hamari saanso per pehra kisi or ka hota hai.
Kyun hamare sapno mein khwab koi or sajota hai.
Pyar mein aisa hi kyun hota hai.

Kyun hamari manjil mein raaste  kisi or ke hote hain.
Kyun hamari baton mein bol kisi or ke hote hain.
Dil kisi ka tute to dard kisi ko hota hai.
Pyar mein aisa hi kyun hota hai.

Pass unke rehker kuch kaha nahi jata.
Dooriyon ko unse saha nahi jata.
Jaante hain sab fir bhi batana padta hai.
Pyar mein aisa hi kyun hota hai.

No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"