Share it on :

Thursday 6 June 2013

Main Kyun Samajh Na Paya

Main kyun samajh na paya.

Uski bin matlab ki baton ko.
Uske jhoothe jazbaaton ko.
Main kyun samajh na paya.

Uski jakhmo se bhari yaadon ko.
Uski bas khud ke liye maangi hui fariyaadon ko.
Main kyun samajh na paya.

Bin mausam ki barsaatein use bhul jane ko kehti rahi.
Meri karwaton se bhari raatein uske har sapno ko tadti rahi.
Main kyun samajh na paya.

Mera dil kehta raha mujhse ki uski chahat tere kaabil nahi.
Par apne dil ke ishaaron ko.
Main kyun samajh na paya.

Uski matlabi chahat ko.
Uske jhuthe kashme waado ko.
Main kyun samajh na paya.

Aaj jab tanhai me tanha rota hoon tab mujhe samajh mein aaya ki maine to use samjha par sayad mujhe kabhi wo samajh na paya.




No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"